Hindi Shayri

Monday, 17 September, 2007

Hindi Shayri : Arz kiya hai....

Arz kiya hai....
humsafar na mila, to tham gaya tha kaarvan,
Ek Tara bhi humse chhin Gaya maanga jo humne aasmaan

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche,Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain,Ke Tum Bin Hum Kitne Akele Hain

hume to sirf arz karne ka mauka milta hai
aapne shikayat karne ka haq to kisi aur ko de raakha hai.

Raat ko jalte diye din me Bhuja karte hai
Hum to tere pyaar me din raat jala karte hai

aaj phir hatheli per lakiroon ka samunder dekhu,
la tera haat ki main apna mukkadar dekhu.

Ghadi ghadi hum ghadi dekh kar
us ghadi ka intezaar karenge..
jab aap wapas aajaye,
aur hum aapka deedaar karenge..

har waqt mere saath rehta hai..
bata e dard to rishtey me mera kya lagta hai...

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google