Hindi Shayri

Thursday, 15 November, 2007

Sher Shayri

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho

Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho

In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho

Roz mar mar k mujhay jeenay ko kehtay kyon ho
Milnay aaatay ho to phir laut k jaatay kyon ho

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho

Labels: , , ,


 
Google