Hindi Shayri

Wednesday, 30 April, 2008

Urdu Shayri

aandhiyon mein ek shama jalana chahta hun,
tere sahar mein dastoor-e-wafa chalana chahta hun,
tu ek baar thaam le haath to badhkar mera,
main tere samne duniya ko jhukana chahta hun,
maut ek din aayegi,gham kis baat ka,
jeete jee maut se aankhen milana chahta hun,
kam se kam tum to bharam wafa ka rakho,
main apna sab kuch lutana chahta hun,
mohabbat mit na jaye duniya se kahin,
isliye ishq mein khud ko mitana chahta hun,
bijiyan khaak kar deti hain gulsan saara,
main jab jab bhi aashiyana banana chahta hun,
saja kar bajme yaara tum bulao to sahi,
geet jo tujhpe likhe hain,tumhe sunana chahta hun,
siwa iske koi hasrat nahimeri,
bas ek tere dil mein samana chahta hun,
tum ek baar ijajat to do mujhko,
khoon-e-dil se teri hatheliyan rachana chahta hun,
bas ek isi aarzoo mein jee raha hun main,
marne se pehle tujhe apna banana chahta hun,
mera paigam mohabbat hai jahan tak pahunche,
geet yahi har mehfil mein gana chahta hun,
tum apni ankhon se meri barbadiyan dekho,
main khud apne aap ko aajmana chahta hun,
jo lamha pyar mein gujre wahi ibadat hai,
yahi sach har aadmi ko batana chahta hun,
naam diwaano ka wade fana bhi mitta nahi,
main majnu ki kahani ko dohrana chahta hun.

Labels:


 
Google