Ek Shayri
Ek Sahra tha jo saraab sa
ye khawab tha ya azab tha
usay dekhta to tha har koi
par yeh kisi ne socha nahi
ke yeh jalwa tha ya naqab tha
ye khawab tha ya azab tha
kahin banti thi jo dhanak kabhi
jis mein bikhre hote the rang sabhi
is dhanak mein gard thi ya aab tha
ye khawab tha ya azab tha
kayee bagh the jo ujar gaye
kayee phool the jo bikhar gaye
yahan aaya koi sailaab tha
yeh sailaab ya azab tha
ik khawab tha jo azab tha
ye khawab tha ya azab tha
usay dekhta to tha har koi
par yeh kisi ne socha nahi
ke yeh jalwa tha ya naqab tha
ye khawab tha ya azab tha
kahin banti thi jo dhanak kabhi
jis mein bikhre hote the rang sabhi
is dhanak mein gard thi ya aab tha
ye khawab tha ya azab tha
kayee bagh the jo ujar gaye
kayee phool the jo bikhar gaye
yahan aaya koi sailaab tha
yeh sailaab ya azab tha
ik khawab tha jo azab tha
Labels: Shayri
