Hindi Shayri

Friday, 11 July, 2008

Hindi Ghazal

Miltey hein tu hum pe anayton ki trah
Yeh sher hotey hein shahadaton ki trah

Kuch kuch smajh mein ata hai kuch kuch mgar nai
Yun us ko perh raha hon mein aaiyton ki trah

Woh ghum e jahan mein ulajh ke milne aata hai
Muhabbat ker raha hai, ibadaton ki trah

Aysa na ho keh woh muskura ke hi tal dey
Apni tamam agli sakhawaton ki trah

Rehmat pe us ki yun kamil yaqin hai
Woh bhi mil hi jaye ga sab naimton ki trah

Muhabbat ke iwwaz muhabbat dey raha hai woh
Hunar ho, ada ho, hai karamton ki trah

Lafzon pe us ke aitbar kia Aneel
Lafzon ko hi rakha zamanton ki trah

Labels:


 
Google