Hindi Shayri

Tuesday, 14 October, 2008

Waqt To Waqt Hay : SMS Shayri

Waqt ko tum ne naheen hay samjha

Waqt ko tum ne bhala kab jana

Waqt jaisa ho behertoor guzar jata hay

Waqt kuch aisa bhi hota hay k jo

Lakh kato,to woh kat ta hi naheen

Waqt kuch yun bhi guzar jata hay

Jaise ho nind ki agosh main ek khawab haseen

Aur woh khawab haseen

Hathe se apne aksar

Aik hi pal main phisal jata hay

Lakh bhageen bhi magar

Haath kahan ata hay

Aur hum khawab ki bekal yadeen

Apne pahlo main chupa kar chup chaap

Ingint rang_o_musaheb se guzar jate hain

Waqt k sakaroon zalim lamhe

Waqt k sang guzar jate hain

Waqt to waqt hay

Jaisa ho guzar jata hay

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google