Hindi Shayri

Sunday, 30 November, 2008

Ek Love Shayri

nahiin ke milne milaane kaa sil_silaa rakhnaa
kisii bhii satah pe ko_ii to raabtaa rakhnaa


madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii
Gariib-e-shahar-e-sitam huuN meraa pataa rakhnaa


marenge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut
ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhnaa

naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aaooNgaa to meraa naam bhii nayaa rakhnaa


hisaar-e-shauq uThaanaa 'Akbar' zaruur magar
kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google