Hindi Shayri

Friday, 25 January, 2008

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya
Door Jaaney Ke Nitt Naye Bahaaney Laayaa

Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viraaney Laaya

Gunaah Ke Dar Say Barrha Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laaya

Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lotaaney Laaya

Jiss Ke Pyaar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi....Woh Shama Bujhaaney Laaya

Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sarhaaney Mairey Sajaaney Laaya

Pehley Hi Chaahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjaayi Naye ilzaam Lagaaney Laaya !

Syed Bilal

Labels: ,

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao
Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein
Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin Aaya
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Kahey Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say
Ye Kaisi Raaz Daari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein To Aaj Ki Shab Po Phatney Tak Jaagna Hai
Yehi Qismat Humari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein Bhi Neend Aa Jaye Gi, Hum Bhi So Hi Jayein Gey
Abhi Kuch Be-qaraari Hai, Sitaro Tum To So Jaao !

Syed Bilal

Labels: , ,


 
Google