Hindi Shayri

Tuesday, 27 May, 2008

Tu Jo Paida Howa Kitna Majbor Tha

Ye Jaha Teri Socho Se Bhi Door Tha
Hath Paao Bhi Tab Teray Apnay Na Thay
Teri Ankho Me Dunia K Sapnay Na Thay


Tujh Ko Atta Tha Jo Srif Rona Hi Tha
Dodh Pi Kar Tera Kaam Srif Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Mai Basaya Tha Maa Ne Teri


Maa K Saye Mai Tu Parwan Charnay Laga
Waqat K Sath Qaad Tera Bharnay Laga
Deheray Dheeray Tu Kariyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Sara Jaha Phir Meharban Hogaya


Zor_E_Bazo Pe Tu Bat Karnay Laga
Khud Samjhnay Laga Khud Sawarnay Laga
Ik Din Aik Haseena Tuje Baha Gai
Ban K Duhlan Phir Wo Tere Ghar Agai


Apnay Faraz Se Tu Door Honay Laga
Beach Nafrat Ka Kuhd Tu Bonay Laga
Phir Maa Ko Apni Tu Bhulanay Laga
Teir Bato Ka Phir Tu Chalanay Laga


Bat Bat Pe Us Se Tu Larnay Laga
Qaida Ik Naya Tu Pahrnay Laga
Yad Kar Tujh Se Maa Nay Kaha Ik Din
Ab Mera Guzara Nahi Hay Tere Bin


Sun Kar Ye Bat Tu Taish Mai Agaya
Tera Gusa Teri Aqal Ko Kah Gaya
Josh Mai Aa Kar Tu Ne Maa Se Kaha
Mai Kahmosh Tha Dekhta Raha


Ajj Kheta Ho Pecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Wo Tor Do
Jao Kahi Ja Kar Kam Dhanda Karo
Log Martay Hain Tum Bhi Kahi Ja Maro


Beth Kar Ahha Bharti Thi Wo Rat Bhar
Na Howa Uski Ahha Ka Tujh Per Asar
Zindagi Har Dum Usay Phir Satati Rahi
Khon K Anso Usay Phir Pilati Rahi


Ik Din Moot Ko Bhi Taras Agya
Us Ka Rona Taqdeer Ko Baha Gaya
Asahk Ankho Mai Lai Kar Rawana Hoi
Ik Hichki Ajal Ka Bahana Hoi


Mudatain Hogai Ajj Bhora Hai Tu
Jo Para Toti Khutiya Pe Kora Hai Tu
Tere Bachay Bhi Ab Tujh Se Dartay Nai
Nafratain Hain Mohbbat Wo Kartay Nai


Dard Mai Tu Pukaray K O Meri Maa
Tere Dum Say Roshan Tha Ye Mera Jaha
Waqat Chalta Rahta Hai Rukta Nai
Tot Jata Hai Wo Jo Juhkta Nahi


Ban K Tu Ibrat Ka Nisha Rah Gaya
Dhund Per Bana Tera Makan Rah Gaya
Kat Le Tu Wohi Tune Boya Tha Jo
Tujh Ko Kasay Milay Tune Khoya Tha Jo

Labels:

Kaash Koi Samjha Daita

Kaash Koi Samjha Daita ...

Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain

Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...

Labels: ,

ek ham the ke bik gaye Khud hii

kabhii aansuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibon ne bekasii bechii

chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz thodii sii zindagii bechii

jab rulaane lage mujhe saaye
main ne uqtaa ke raushanii bechii

ek ham the ke bik gaye Khud hii
varanaa duniyaa ne dostii bechii

Labels:

Paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….

Sochta Hoon Iin Sagar ki Leharon ko dekh kar..
Kyun yeh kinaron se takrakar laut jaati hain…
Karti hain yeh kinaron se Bewafaai…
Ya phir Sagar se Wafa Nibhati hain….
```````````````````````````````````````````
``````````````````````````````````````````
Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….
````````````````````````````````````````````
````````````````````````````````````````````
Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.
```````````````````````````````````````````
```````````````````````````````````````````
Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.

Labels:

Hindi Shayri

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
terii raahon men baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
ab naa maangenge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

Labels:

Kisi se besabab uljha nahi tha

Kisi se besabab uljha nahi tha
Woh pehlay tu kabhi aisa nahi tha

Woh phir b yaad rakhna chahta tha
Agarchay main usse bhoola nahi tha

Bht a'ala tha uska zarf lekin
Woh meri Zaat ko samjha nahi tha

Woh jese berukhi se chal para tha
Main itna b gaya guzra nahi tha

Usse main kiun bura tehraun akhir
Woh acha tha faqat mera nahi tha

Syed Bilal

Labels:

Sunday, 25 May, 2008

Jab Bhi Qareeb Aata

Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye !
Zindagi Door Rakhti Hai Satanay K Liye !

MehfilOn Ki Shaan Na Samajhna Mujhay !
Main To Hansta HoOn GHum Chupanay K Liye !

In FaaslOn Ko Na Samjho Meri Be-Wafayi !
Main DOor HOon Tumse, Paas Aanay k Liye !

Mat Jano HaQeeQat Mere In AansuOn Ko !
Main To ROota HOon Tumhein Rulanay K Liye !

Koi Gila Nahi Hai Mujhay Apni Barbadi Ka!
Main To Khaila Tha Aag Se Jal Janay k Liye !

Ab Duniya Kuch Bhi Kahay, Mujhay Parwa Nahi !
Main To Jeeta Tha Zindagi, Mar Janay K Liye !

Labels: ,

Laut aao ki umeed

Laut aao ki umeed ki shama bujhne ko hai,
Is jism se ye sans juda hone ko hai.

Is mushfir ko ek didar e yaar to kara
Aakhri guzarish ab bas tum se hai..

Meri muflishi mere hi kaam aayi,
Teri zandgi ki rah har samee kharam aayi

Tadapte rahe hum tere didar- e mutzar ko
Ham se milne aaye kabhi wo sham na aayi..

"Masoom" the hum teri ye aada samjh na aayi
Tum ko tha jo passand har baat mere samne aayi

Hum to the tere rahee tak arr
dua teri kisi aur ke nam aayi

Hamri zandgi me koi khusi ki sham na aayi
Bas yaad karte rahe tujhe hum, par teri yaad na aayi

mar bhi gaye the hum ek baar
Par meri kabar par teri chadar na aayi

Labels: ,

Hindi Shayri - Pooch Lo Tum

Pooch Lo Tum
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyi,
Mil Liye Tum Apne is Deewane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hoon Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se

Labels:

Baat kar tujh pe gumaan

Baat kar tujh pe gumaan hone laga tasveer ka
Muntazir kab se hai gair teree taqareer ka

Raat kya soey ke baqee umar kee neend bhee urr gaee
Khuwab kya dekha ke dharka lag gaya taabeer ka

Kese paya tha tujhe kis tarah khoya tujhe
Mujh sa munkir bhee ho gaya qayal taqdeer ka

Jane kis aalam mein tu bichara hai ke tere bagair
Aaj tak har naqsh faryadi hai meree tahareer ka

Jis ko bhee chaha baree shidad se chaha hai
Silsilaa toota nahi hai dard kee zanjeer ka

Labels: , , , , ,

Hindi Shayri

Sochta hoon usy neend bhi aati ho giya
meri tarhan faqat aashq bahati ho gi
meri shakal mera nam bholany wali
apni tasweer say kya aankh milati hogi
sham hoty hi chokhat par jala kar shameen
apny palkoon par kayi khowab sulati hogi
is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libasab
moharam ki tarhanEid mnati ho gi
mery bossy ki talab mein pagaljab bhi
zulfoon mein koi phol sjati ho gi

Labels:

Hindi Shayri - Ek Arz

Ek Arz
Laut aao ki umeed ki shama bujhne ko hai,
Is jism se ye sans juda hone ko hai.

Is mushfir ko ek didar e yaar to kara
Aakhri guzarish ab bas tum se hai..

Meri muflishi mere hi kaam aayi,
Teri zandgi ki rah har samee kharam aayi

Tadapte rahe hum tere didar- e mutzar ko
Ham se milne aaye kabhi wo sham na aayi..

"Masoom" the hum teri ye aada samjh na aayi
Tum ko tha jo passand har baat mere samne aayi

Hum to the tere rahee tak arr
dua teri kisi aur ke nam aayi

Hamri zandgi me koi khusi ki sham na aayi
Bas yaad karte rahe tujhe hum, par teri yaad na aayi

mar bhi gaye the hum ek baar
Par meri kabar par teri chadar na aayi

Labels:


 
Google