Hindi Shayri

Wednesday, 2 July, 2008

Aapko

Savera kya hua sitaron ko bhool gaye,
Suraj kya nikla chand ko bhul gaye,
Guzre kya kuchh pal aapke bina,
Aapko laga ki hum aapko bhool Gaye

Labels:

Tuut gayaa.......

aaj ashkon kaa taar tuut gayaa
rishtaa-e-intazaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~
yuun vo thukaraa ke chal diye goyaa
ik khilaunaa thaa pyaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~
roye rah-rah kar hichkiyaan lekar
saaz-e-Gam baar baar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
aap kii beruKhii kaa shikavaa kyaa
dil thaa naapaa_idaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~
dekh lii dil ne besabaatii-e-gul
phir tilism-e-bahaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~
kyaa chaar din kii ranjish se
itanii muddat kaa pyaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~

Labels: , ,

Shaam say

Hello!!!!!!!!!!!


Shaam say ankhon main nami c hay,
aaj phir aap ki kami c hay,,
dafun kar do humain k sans milay,
nabaz kuch dair say thami c hay,,
waqt rehta nahi kahin chup kar,
uski aadat bhi aadmi c hay,,
koi rishta nehi raha phir bhi,
ik tasleem lazmi c hay..................

Stay in touch

ALLAH HAFIZ

Labels: , ,

Shaam say

Hello!!!!!!!!!!!


Shaam say ankhon main nami c hay,
aaj phir aap ki kami c hay,,
dafun kar do humain k sans milay,
nabaz kuch dair say thami c hay,,
waqt rehta nahi kahin chup kar,
uski aadat bhi aadmi c hay,,
koi rishta nehi raha phir bhi,
ik tasleem lazmi c hay..................

Stay in touch

ALLAH HAFIZ

Labels: , ,

Chund Lamhey

Chund lamhey...
by Mahheen

wohi awaz...
bholi si...
wohi nigahain... shararat bhari
aawaz main kuch khushi,
kuch hairangi
aur chund lamhoon ki khamoshi
aur kuch bayrabt baatein...
aaj hum nay ji bhar kai keen.. .

Labels:

Ek Shayri

Ek Sahra tha jo saraab sa
ye khawab tha ya azab tha

usay dekhta to tha har koi
par yeh kisi ne socha nahi
ke yeh jalwa tha ya naqab tha
ye khawab tha ya azab tha

kahin banti thi jo dhanak kabhi
jis mein bikhre hote the rang sabhi
is dhanak mein gard thi ya aab tha
ye khawab tha ya azab tha

kayee bagh the jo ujar gaye
kayee phool the jo bikhar gaye
yahan aaya koi sailaab tha
yeh sailaab ya azab tha
ik khawab tha jo azab tha

Labels:


 
Google