Hindi Shayri

Saturday, 20 September, 2008

Kaise Bitye Gi :- Shayri

Saathi mere bin tere
Kaise bitye gi
Umariya bin tere
Suni lage rye
Yeh nagariya bin tere
Saathi mere bin tere

Aik din ruth kar hum chale the
Bewafa tu ne roki theen rahein
Pyaar mushkil hay
Hum ne kaha tha
Tu ne yeh kaha phir
Bhar k ahhein
kaise betye gi
Umariya bin tere

Joothe nikle sabhi tere wahde
Yaad kar o badal jane wale
Tere wahdon pe hum
Mar mite hain
Apne qadmon se
Thukrane wale
Suni lage rye
Yeh nagariya bin tere
Saathi mere

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Friday, 19 September, 2008

Chal Chalte Hain Uss Par Sanam.....!!!

Chal Chalte Hain Uss Par Sanam,

Jahan Lehron Ki Khamoshi Ho,
Jahan Saanson Ki Madhoshi Ho,
Jahan Jazbon Ki Behoshi Ho,
Jahan Aankhon Se Sargoshi Ho,
Chal Chalte Hain Uss Par Sanam,

Ik Nai Aas Lagane Ko,
Ik Dil Ki Aag Bujhane Ko,
Ik Doje Mein Kho Jane Ko,
Ik Pal Ke Naam Hojane Ko,
Chal Chalte Hain Uss Par Sanam,

Jahan Asaan Sari Raahein Hon,
Jahan Ek Doje Ki Baahein Hon,
Jahan Lub Pe Sard Si Aahein Hon,
Jahan Pyar Ki Kuch Panahen Hon,
Chal Chalte Hain Uss Par Sanam...!!!

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Maang Liya Jab Tuj Ko KHUDA Se

Dhund rahi theen jane kab se
Teri surat meri aankheen
Sath raheen ge saya ban k
Teri surat meri aankheen
Kaisa darna phir duniya se
Maang liya jab tuj ko KHUDA se
Karti raheen gi pyaar ko sajde
Teri surat meri aankheen
Armanon ne li angrayi
Gonge uthi dil main shehnayi
Le ayi muj ko manzil pe
Teri surat meri aankheen
Duniya chute sath na chute
Har shye tute pyaar na tute
Sath raheen humrahi ban k
Teri surat meri aankheen

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday, 16 September, 2008

Dosti Only

kuch riste upar wala banata he
kuch riste ham banate he
lekin kuch rista ittfaq se banta he
use upar wale ki taqdir se milta he
wahi najane jindgi me kahi kuch kar jata he
wahi saccha dost kahalata he

i like only dosti because life time recharge

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Dil Se

Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyar Krne Ki Kya Khub SAZA MILI

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Salam_e_Mohabbat

Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay

Zara apni palkon k
Piche to jhanko
Umangoon ka sholah
Bharakne laga hay

Woh dil jis ko pathar
Banaya hay tu ne
Woh pathar bhi ab to
Dharakne laga hay
Yeh ulfat naheen hay
To phir aur kiya hay

Khalish pyaar ki tum
Chupaoo ge kaise
Mohabbat huy hay
To ikraarkar lo

Agar hum naheen hain
Wafaoon k kabil
Jise chahte ho
Use pyaar kar lo
Abhi tak jahan main
Yehi kuch huwa hay

Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay
Sallam
Salam_e_mohabbat

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Manzil Manzil Sath Raheen Ge ; Shayri

Kitni bar mile hain lekin
Aaj bhi yun lagta hay k
Jase mile hoon pahli baar

Manzil manzil sath raheen ge
Pyaar ki in rahoon main
Yeh duniya lakh bane diwaar

Aankhon main hay teri surat
Har dharkan pe khaab hay tera

Sansoon main hay teri khushbo
Mere laboon par naam hay tera
Tuj ko pa kar dil main basa kar
Mil gaya muj ko karrar
Khila hay khushiyon ka gulzaar

Dil main mere sathi tu ne
Apne pyaar k geet sajaye

Tu ne a kar mere lab par
Shokh hansi k phool khilaye
Meri nigaheen har pal chaheen
Tera haseen dedaar k
Tuj bin jina hay bekaar

Kitni bar mile hain lekin
Aaj bhi yun lagta hay k
Jase mile hoon pahli baar

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday, 14 September, 2008

Shayriyan

<< Ehsaas >>
Apki mohabat ka
<< Yakin >>
Apki baton ka
<< Kadar >>
Apke naam ki
<< Fakar >>
Apse dosti ka
<< Intjar Apki Yes ka >>
Na jane kab aoge aap

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google