Kahan jao ge .?
Rooth kar meri dunya se kahan jao ge
cheen sehra main bhee na aaya to kahan jao ge
jis roshni ki justujo main nikle the ghar se tum
us roshni ne daraya to kahan jao ge
dukhun ki dor main bais sukoon tha ik shakhs
aaj usi ne sataya to kahan jao ge
abad he jis se khwab o khayal ke ik dunya
aaj wo khuwab main na aaya to kahan jaao ge
un se adaawat hi sahi phir bhi janan
aaj apno ne bhulaya to kahan jao ge
ishq main khuda ko na bhool jana flower
haath khuda bhi na aya to kahan jao ge
Labels: Shayri
