Hindi Shayri

Tuesday, 14 October, 2008

Mujhe Mil Gaya Tu :- Ek Shayri

Mili gul ko khushbo
Mujhe mil gaya tu
Pasand apni apni
Naseeb apna apna

Mohabbat ki rahoon main
Agar tu na milta
To yeh zindagi kitni
Dushwaar hoti
Na aankhon main jine ka
Armaan hota
Na koy khushi dil main
bedaar hoti

Jo chaha tha main ne
Mujhe mil gaya hay
Mere dil main ab koy
Hasrat naheen hay

Hay imaan mera
Mohabbat se bhar kar
Zamane main koy bhi
Dolat naheen hay

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hum jo tareek rahon main maarey gaye " SMS Shayri

Terey honton key phoolon ki chahat main hum
dar ki khushk tehni peh warey gaye
terey hathon ki shamoon ki hasrat main hum
neem tareek rahon main marey gaye

solion par hamarey labon sey parey
terey honton ki laali lapakti rahi
teri zulfon ki masti barasti rahi
terey hathon ki chandni damakti rahi

jab ghuli teri rahon main sham-e-sitam
hum chaley aaye, laye jahan tak qadam
lab peh horf-e-ghazal, dil main qandeel-e-gham
apna gham tha gawahi trey husn ki
dekh qaim rahey iss gawahi peh hum
hum jo tareek rahoon main marey gaye

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Jo Tera Sath Milta To : Sher O Shayri

bichhati apni palaken tere pairon ke tale bhi main
jo tera saath milta doosari hi ban ke rahti main

tere darwaze pe main khud diya ban ke jala karti
jo ye hota to hamdam baat koi aur hi hoti

tu mujhse roothne ka ek bhi pal chhant na pata
main teri har khushi pe is tarah qurban ho jaati

hamara ghar hi phir ek bagh hota apni chahat ka
jahaan ke har ik phool ka khwab hota usme o bula lete

meri nazron hi me na tum jo meri zindagi me hote
to main ek doosari hoti zindagi khushnuma hoti

magar tum khwab the mera to bas khwabo tak rah pae
na tum tak main pahunch paai na mujh tak tum pahunch paae

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri :- Bohut Udas Houn Main

Mujay gale say laga lo bohot udas houn main

Gham_e jahan say chura lo bohot udaas houn main

Yeh intizaar ka dukh ab sha nahi jata

Tarap rahi hay mohabbat raha nahi jata

Tum apnay paas bla lo bohot udaas houn main

Batak chuka houn bohot zindgi ki rahon main

Mujay ab a k chupa lo apnii bahon main

Mera sawal na talo bohot udaas houn main

Har ik saans main milnay ki pyaas palti hay

Sulag raha hay badan aur rouh jalti hay

Bacha sako tu bacha lo bohot udaas houn main

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Waqt To Waqt Hay : SMS Shayri

Waqt ko tum ne naheen hay samjha

Waqt ko tum ne bhala kab jana

Waqt jaisa ho behertoor guzar jata hay

Waqt kuch aisa bhi hota hay k jo

Lakh kato,to woh kat ta hi naheen

Waqt kuch yun bhi guzar jata hay

Jaise ho nind ki agosh main ek khawab haseen

Aur woh khawab haseen

Hathe se apne aksar

Aik hi pal main phisal jata hay

Lakh bhageen bhi magar

Haath kahan ata hay

Aur hum khawab ki bekal yadeen

Apne pahlo main chupa kar chup chaap

Ingint rang_o_musaheb se guzar jate hain

Waqt k sakaroon zalim lamhe

Waqt k sang guzar jate hain

Waqt to waqt hay

Jaisa ho guzar jata hay

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Qaum K Paas Agar Thora Sa Mind Hota

Qaum k paas agar thora sa mind hota

Hukamran apna na asa bhi blind hota

Jab bhi woh hans k mila karta mujhye farhatje

Kuch na kuch peeich zaroor is k behind hota

Tu bhi aankhon main liye phirta kisi dard ki reet

Tera bhi khawab mere dukh main grind hota

A gaya hota agar aik bhi aankhon wala

Sheher ka sheher to aise na blind hota

Mahirbanon k nagar main,main khara sochta houn

Kaash woh shaks bhi mere liye kind hota

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google