Hindi Shayri

Monday, 20 October, 2008

Na Umeedain

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota
Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota..

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri

Umar k Uljhye Huwe Raston Par

Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot
Hum tere dhayan main gum the
Aur phir har taraf phali huy
Bekhayali thi bohot
Aik sehmi huy umeed humari janib
Tere bare main sawali thi bohot
Hum ne bhi apni tamana ek ek
Teri janib hi uchali thi bohot
Aur jab louti to khali thi bohot
Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Aaj Uski Yaad Ne : Shayri

Aaj uski yaad ne hume tadpaya bahut,
Aaj na chahte huwe bhi wo yaad aaya bahut,

Uske baad to jaise vehshato se dosti ho gayi,
Phir kyon aaj tanhaiyo ne daraya bahut,

Wo mera tha, mera hai, mera rahega,
Humne is khayal se khud ko behlaya bahut,

Shamma ke jalne par hum afsos kare kyo,
Humne bhi manind shamma khud ko jalaya bahut,

Humne jis kisi ko bhi humdard samjha "APNA",
Wo humare dukh pe na jaane kyo muskuraya bahut

Subscribe to Hindi Shayari

Unse Hi Dil Lagta : Shayri

Barson ho gaye raakh bane huye
Par dhunwa uthta baar baar Q hai

Zamana ho gaya zakhm lage huye
Ye Riista baar baar Q hai

Mohobbat dard ban kar reh gayi
Ashqon ka sailaab tut'ta baar baar Q hai

Jeetnay ki koshish karte hain hamesha
Par mukaddar haarta baar baar Q hai

Koi sahil pe pohnachay bhi kaise
Yahan tufan guzarta baar baar Q hai

Har lamha badalti hai fitrat jinki
Unse hi Dil lagta baar baar Q hai

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri

dhadanon ki taal par har suur saja liya maine
ee zindagi tera dard bhara geet gaa liya maine..!!

kabhi khoya khudko aur kabhi paaya tujhko
kabhi ruthi main to kabhi tujhko mana liya maine..!!

main to ek anjani si raah par chal rahi thi bekhabar
aaj fir teri aur pehla kadam badha liya maine..!!

na jane kaun si ghadi mein durr hue the hum
k zindagi se har rishta hi chhuda liya maine..!!

aaj tumko dekha to fir badal gaya mausam
aaj fir naye rang mein khud ko paa liya maine..!!

Subscribe to Hindi Shayari

KHUDA Kare k Mohabbat Main Woh Muqam Aye

KHUDA kare k mohabbat main
Woh muqaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye

Tumara pyar mere gesuon ki uljhan ho
Tumare naam se dil ka cherag roshan ho
Nazar nazar se mile zulf le k shaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye

Jahan talak yeh haseen gungunati raat chale
Nazar nazar se mile dil se dil ki baat chale
Hamare dil ki tarap aaj kuch to kaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye

Mere khayalon ki tasveer hou ba hou tum ho
Mere hazoor nigahoon ki aarzu tum ho
Nazar uthe meri janib koy salam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

SMS Shayri

To,JAAN,

Jab koi zamane mein sahara nazar aaya,
Bas tu hi mujhe ek humara nazar aaya.
Main teri Dosti mein baitha raha aise,
Na tufan nazar aaya na kinara nazar aaya.

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Dosti Shayri

Dost kya Khoob

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain
Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain

Tum Say To Khair Ghari Bher Ki Mulakat Rahi
Log Barsoon Ki Rafakat Ko Bhula Daitay Hain

Kaisay Mumkin Hai Ke Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jalay
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Daitay Hain

Kon Hota Hai Musibat Main Kisi Ke Ae MeMoN
Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Daitay Hain

Jin Pay Hota Hai Bohat Dil Ka Bharosa AnMoL
Waqt Parney Pey Wohi Log Daga Daitay Hain...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google