Hindi Shayri

Thursday, 12 March, 2009

Jazaa...

Hume Pyaar Me Paya Toh Kya Paya
Kabhi Qud Roye Kabhi Tumko Rula Diya
Halat-e-Gham Me Beh Gaye Jo Aansoo
Woh Zindagi Me Phir Beh Naa Paaye
Sazaa Mujhe Mili Aur Unhe Jazaa Mili
Himmat Nahi Thi Ussme Sath Dene Ki
Ab Tak Naa Woh Sath Kisi Ke Chal Paya
Tukde Apne Wajood Ke Roz Dhoondti Hoon
Ussne Mere Dil Ko Aise Bikhraya
Zulm Pe Zulm Karta Raha Aur Mein Chup Rahi
Humne Pyaar Me Paya Toh Kya Paya......

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google