Hindi Shayri

Sunday, 22 February, 2009

Dard Bhari Shayri....

Baat tab ki hai jab
HUSN parde me rahta tha aur
ISHQ use dekhne ki KHUDA se aarzu kiya karta tha
Kehta tha Ya KHUDA hawa ka ek jhonka aaye

Aur HUSN benaqab ho jaye,
Achanak ek din ISHQ chal basa aur
HUSN uske KABR pe Phool chadhane gaya
To hawa ka ek jhonka aaya

Aur HUSN benaqab ho gaya
To KABR se AWAAZ aayi
ya KHUDA ye kaise teri KHUDAI hai
Aaj jab maine parde me hun
To HUSN benaqab aayi hai

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Bewafai Kaa Ab Gila Kaisa....

Bewafai kaa ab gila kaisa
Aap pahle bhi kab hamare the
Meri aankhon main phailate hoye rang
Kal tak aap ko bhi pyare the
Nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
Gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho
Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
Bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi
Badi zaalim nihayat bewafaa hai
Ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai
Bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
Sirf do-char savalat kaa mauqa day day
Kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
Ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen
Mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
Tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara
Na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
Woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage
Sar jukaoge to pathar devata ho jayega
Itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega
Teri bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye..

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google