Hindi Shayri

Saturday, 8 November, 2008

Aankhen

Wo kehti hia Sitarey aansuoon main kiyoon chamaktey hain?
Mian kehta hoon Muhabat aansuoon main rang bharti hai

Wo kehti hia tumharey baad barish kiyoon nahi hoti
Mian kehta hoon meri jaan hijar sehraoon main rehta hai

wo boli nain kuch kehtey huey aksar jhijhktey hain
main bola dil main baithey choor ko rasta nahi milta

wo boli sardiyoon main bhoop ki hid'dat kabhi dekhi
main bola tum ne mere lums ki hidat kabhi dekhi

wo boli dard k us paar b ik dard hota hai
mainus k baad kitni dair tk kuch nahi bola

Labels: , , ,

Friday, 11 July, 2008

Hindi Ghazal

Miltey hein tu hum pe anayton ki trah
Yeh sher hotey hein shahadaton ki trah

Kuch kuch smajh mein ata hai kuch kuch mgar nai
Yun us ko perh raha hon mein aaiyton ki trah

Woh ghum e jahan mein ulajh ke milne aata hai
Muhabbat ker raha hai, ibadaton ki trah

Aysa na ho keh woh muskura ke hi tal dey
Apni tamam agli sakhawaton ki trah

Rehmat pe us ki yun kamil yaqin hai
Woh bhi mil hi jaye ga sab naimton ki trah

Muhabbat ke iwwaz muhabbat dey raha hai woh
Hunar ho, ada ho, hai karamton ki trah

Lafzon pe us ke aitbar kia Aneel
Lafzon ko hi rakha zamanton ki trah

Labels:


 
Google