Hindi Shayri

Monday 21 December 2009

Hamari taraf se aap ko New Year mubarak.

Gul ko gulshan mubarak,
Chaand ko chandani mubarak,
Shayar ko shayri mubarak,
Aur hamari taraf se aap ko New Year mubarak.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 20 December 2009

Hindi Shayri On New Years Occassion - Naya Saal Shayri

Naya Saal Shayri

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai

Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi

Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi

Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray

Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee

Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga

Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi

Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain

Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 10 December 2009

New Year Shayri

Sunehri Dhoop Barsaat ke baad
Sunehri dhoop barsaat k bad,
thori si hansi her baat ke baad,
usi tarah ho mubarak aap ko 2010, 2009 k baad.
Wish u a Happy new year.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google