Hindi Shayri

Sunday 22 February 2009

Dard Bhari Shayri....

Baat tab ki hai jab
HUSN parde me rahta tha aur
ISHQ use dekhne ki KHUDA se aarzu kiya karta tha
Kehta tha Ya KHUDA hawa ka ek jhonka aaye

Aur HUSN benaqab ho jaye,
Achanak ek din ISHQ chal basa aur
HUSN uske KABR pe Phool chadhane gaya
To hawa ka ek jhonka aaya

Aur HUSN benaqab ho gaya
To KABR se AWAAZ aayi
ya KHUDA ye kaise teri KHUDAI hai
Aaj jab maine parde me hun
To HUSN benaqab aayi hai

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 19 November 2008

Teri Yaad

Teri yaad ki chadar bichaa kar baith jate hain
Shaam hotey hi dil ko jala kar baith jate hain
Tum jab bhi nahi aate ho apne wadon par
Hum aankh mein aansoo saja kar baith jate hain
Jab kabhi hume ghurbat ka khayaal aaya
katora le kar faqeeron ke sath baith jatee hain
jab bhi jee chaha khuda se baat karne ko
wazoo kar ke quraan utha kar baith jate hain
DIL-e-NAAZ unko kabhi bhi manzil mil nahi sakti
Jo thak ke hath par hath rakh kar baith jate hain

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 11 July 2008

Ro bhi na sake!!

Bikhare aansu me moti hum piro na sake,
unki yaad me sari raat ro na sake,
beh na jaye aansu me unki tasvir
yahi soch kar hum ro bhi na sake!!


Dil Ki Chotton Ko log shayari Kahein Parwah nahi...
Dard toh tab hota hai jab koi wah wah karta hai...

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google