Hindi Shayri

Wednesday, 2 July, 2008

Shaam say

Hello!!!!!!!!!!!


Shaam say ankhon main nami c hay,
aaj phir aap ki kami c hay,,
dafun kar do humain k sans milay,
nabaz kuch dair say thami c hay,,
waqt rehta nahi kahin chup kar,
uski aadat bhi aadmi c hay,,
koi rishta nehi raha phir bhi,
ik tasleem lazmi c hay..................

Stay in touch

ALLAH HAFIZ

Labels: , ,

Shaam say

Hello!!!!!!!!!!!


Shaam say ankhon main nami c hay,
aaj phir aap ki kami c hay,,
dafun kar do humain k sans milay,
nabaz kuch dair say thami c hay,,
waqt rehta nahi kahin chup kar,
uski aadat bhi aadmi c hay,,
koi rishta nehi raha phir bhi,
ik tasleem lazmi c hay..................

Stay in touch

ALLAH HAFIZ

Labels: , ,

Tuesday, 27 May, 2008

Kaash Koi Samjha Daita

Kaash Koi Samjha Daita ...

Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain

Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...

Labels: ,

Wednesday, 30 April, 2008

Hindi Shayri : Abhi mumkin nahi hai...

Abhi mumkin nahi hai
ghazal kahna
kisi sachi mohabat ki judai per
dukhon ke darmiyan reh ker
wafa ki nazm likh lena
abhi mumkin nahi


abhi mumkin nahi
hijr ke mousam ki ankhon se
kisi ke wasl ki baaton ke haathon per
dua ke harf parh lena
abhi mumkin nahi
abhi mumkiin nahi
khushbu ke chaand chehroon per
kisi khushbu ke rangoon ka bikher jana
mehek uthna
abhi mumkin nahi
abhi mumkin nahi
shehr shaam dushmanaa_N ki
wahshat namehrbaan mien phir
mohabat ka biyaan karna
abhi mumkin nahi hai

Labels: , , , , ,

Wednesday, 12 March, 2008

Love SMS Shayari

Dil me pyar hai
Ankho me nasha hai
bato me maza hai
chaht me ada hai
andaz bhi jud hai
Dosti me wafa hai
Isiliya to sab MUZHI par fida hai.

Labels: , ,

Nigaah-e-Karam

Nigaah-e-Karam Jo Unki Ataa Ho Kabhi Humko
Tou Barasti In Nigaahon Ka Samander Bhi Kuch Kam Ho

Hon Door Saaray Apne Shikway Gilay Kabhi
Andaaz Jo Unka Zara Bhi Maddham Ho

Ataa Khuda Kar De Humko Woh Saaray
Dafan Unke Seeney Main Jitne Bhi Gham Hon

Dua Apne Khuda Se Hum Yehi Maangtay Hain
Aankhein Kabhi Na Unki Aansuon Se Num Hon

Bin Soche Chal Parein Ge Har Raah Per Hum
Jo Saath Qadam Kay Mere Unka Bhi Qadam Ho

Iqraar Hum Karain Ge Apni Chahaton Ka
Keh Dein Ge Hum Unko Tumhi Mere Sanam Ho

Thaamay Jo Haath Mera Woh Zindagi Ke Safar Main
Kabhi Mout Bhi Juda Na Kar Sake Gi Humko

Mehka Deta Hai Khushboo Se Jo Mere Chaman Ko
Woh Phool Iss Jahaa'n Ka Sirf Aik Tum Ho...


From:Raj Lalani

Labels:

Nigaah-e-Karam

Nigaah-e-Karam Jo Unki Ataa Ho Kabhi Humko
Tou Barasti In Nigaahon Ka Samander Bhi Kuch Kam Ho

Hon Door Saaray Apne Shikway Gilay Kabhi
Andaaz Jo Unka Zara Bhi Maddham Ho

Ataa Khuda Kar De Humko Woh Saaray
Dafan Unke Seeney Main Jitne Bhi Gham Hon

Dua Apne Khuda Se Hum Yehi Maangtay Hain
Aankhein Kabhi Na Unki Aansuon Se Num Hon

Bin Soche Chal Parein Ge Har Raah Per Hum
Jo Saath Qadam Kay Mere Unka Bhi Qadam Ho

Iqraar Hum Karain Ge Apni Chahaton Ka
Keh Dein Ge Hum Unko Tumhi Mere Sanam Ho

Thaamay Jo Haath Mera Woh Zindagi Ke Safar Main
Kabhi Mout Bhi Juda Na Kar Sake Gi Humko

Mehka Deta Hai Khushboo Se Jo Mere Chaman Ko
Woh Phool Iss Jahaa'n Ka Sirf Aik Tum Ho...


From:Raj Lalani

Labels:

Sunday, 10 February, 2008

Mere Liay Kon Sochta hai?

Mere Liay Kon Sochta hai?

juda juda hain mere qabeely k loog sare
juda juda sab suratian hain
sabhi apni ana ke kunween ki teh main pare huye
khawahishon ke pinjer
hawas ke tukre
hawas reeze
meri udaasi ko kon behlaye

kis ko fersat hai mujh se puchy
keh meri ankhain gulaabi kion hain?
meri mushaqat ki shaakh e ueryaan pe
sazishon ke azab kion hain?
meri hatheli pe khawaab kion hain?
mere safar main saraab kion hain?

mere liay kon sochta hai?

sabhi k dil main kadurtain hain
her suu kanker talashna hain
sabhi ko apny badan ki shah rugg main
qatra qatra lahuu ka lawa undhelna hai
sabhi ko guzre dinoon ke derya ka dukh
warasit main jhelna hain

mere liay kon sochta hai?

Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.
Da way i am.

Labels:

Tuesday, 5 February, 2008

Apane haathon se - Shayari

Apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho

tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho

ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho

roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milne aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho..

Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.

Raj.
Raining eyes.

Labels:


 
Google