Hindi Shayri

Friday 22 January 2010

Ek Ehsas...

Tum aaye zindagi mein ek haseen ehsas bankar,
Aur dil mein bas gaye dhadkano ki har saans bankar,

Tum hi goonjte ho meri geeton mein awaz bankar,
Tum hi baste ho merin nazmo mein alfaz bankar,

Kash kabhi aajao zindagi mein
mere hamraz bankar...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 27 November 2009

Some Beautiful Hindi Shayri's

Some Beautiful Hindi Shayri

Khuda ne mujhse kaha ishq na kar
Tu diwana ho jayega.
Maine kaha,ae khuda tu msg padne
Wale se mil..
Tujhe bhi ishq ho jayega!

Paani se pyaas na bujhi,
Toh mehkhane ki taraf chal pada,
Socha ke shikayat karu teri khuda se,
Lekin khuda bhi tera chahanewala nikla!

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
Humne to chalaayi thi ret pe ungli
Gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi..

Gamo me hasne wale ko rulaya nahin jaata.
Lehron se paani ko hataya nahin jaata.
Banane wale ban jaate hain apne,
Kisiko kehkar apna banaya nahin jaata..

Aankhon ki zuban wo samajh nahi paate,
Honth magar kuch keh nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahen,
Koi hai jiske bina hum reh nahi paate.

Na jaane kyon abhi ek aansu aankh se jhalka,
Dil ko shayad aapki yaad aayi,
Chahat hai itni aap se milne ki,
Hanste hue bhi aankhen bhar aayi..!

Dil ki baat dil mein na rahe
Aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...
Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe!!

Mohabbat ki shama jalaakar to dekho
Zara dil ki duniya sajaakar to dekho
Tumhe ho naa jaye mohabbat to kehnaa
Zara humse nazrein mila kar to dekho...

Uban hi sirf ek zaria nahi,
Joaaap shabdon ko samajh paayenge.
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
Hazaro alfaz khud b khud bikhar jayenge.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Saturday 10 October 2009

Mai Fadna chahuon khat tere...

Mai Fadna chahuon khat tere,
Ab yaad teri nahi aati hai.
Mai to Bhula chuka hoon tujhko,
Ab kiyon arman jagati hai.
Tere Jhoote wade sunkar,
Zor se rona aata hai.
Too to hai besharm bahut,,,,,
Ab bhi rulaye jati hai.
Jab tune bhulaya tha mujhko,
Ab tujhko bhulana chahunga.
Dil mera toda tha toone sabko batana chahunga.
Yaadon mai teri yeh aankhen har lamha ashq bahati hai
Jo beet gaye hai lamhe wo baaten harpal tadpati hai
Na jee paun na marr paun, Ab to teri yaadon mai
chhod kar too daman Arif ka khush hai gair ki bahon mai.

*Arif Dana*

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 12 March 2009

Jazaa...

Hume Pyaar Me Paya Toh Kya Paya
Kabhi Qud Roye Kabhi Tumko Rula Diya
Halat-e-Gham Me Beh Gaye Jo Aansoo
Woh Zindagi Me Phir Beh Naa Paaye
Sazaa Mujhe Mili Aur Unhe Jazaa Mili
Himmat Nahi Thi Ussme Sath Dene Ki
Ab Tak Naa Woh Sath Kisi Ke Chal Paya
Tukde Apne Wajood Ke Roz Dhoondti Hoon
Ussne Mere Dil Ko Aise Bikhraya
Zulm Pe Zulm Karta Raha Aur Mein Chup Rahi
Humne Pyaar Me Paya Toh Kya Paya......

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Bari Dair Takk

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr b darr bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 22 February 2009

Bewafai Kaa Ab Gila Kaisa....

Bewafai kaa ab gila kaisa
Aap pahle bhi kab hamare the
Meri aankhon main phailate hoye rang
Kal tak aap ko bhi pyare the
Nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
Gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho
Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
Bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi
Badi zaalim nihayat bewafaa hai
Ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai
Bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
Sirf do-char savalat kaa mauqa day day
Kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
Ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen
Mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
Tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara
Na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
Woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage
Sar jukaoge to pathar devata ho jayega
Itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega
Teri bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye..

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 3 February 2009

Suno

Mari aankhon pe marti thi
Mari baaton pe hansti thi
Najaney larki thi kaisi
Mujhe khoney se darti thi
Mujhe jab be wo milti thi
Yehi har bar kehti thi
Suno!
Agar mein bhol jaon to
Agar mein rooth jaon to
Kabi wapis na aon to
Bhula pao gy ye sab kuch
Yonhi hansty rho gay kya?
Yehi batein hen bas us ki
Yehi yadein hen bas us ki
Muje bas pata hai itna
Muje wo piyar krti thi
Muje khoney se darti thi

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 21 January 2009

Khamosh palko se...

Khamosh palko se jab ansu aate hai....
Aap kya jane ke aap kitne yaad aate hai....
Aaj bhi us morr pe khade hai.......
Jaha aapne kaha tha thehro hum abhi aate hain

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 24 December 2008

Agar Main Hadd Se Guzar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena

Agar Main Hadd Se Guzar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena,
Tere Dil Main Utarr Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Yunhi Ghussay Main Aa Kar Daant Dena Tu Aadat Hai Humari,
Agar Main Aisa Kar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Rastay Main Tujhay Dekh Kar, Teri Deed Ki Khatir,
Pal Bhar Jo Thehar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Apnay Jazbaat Say Likhi Hui Yeh Shookh Tehreer,
Tere Naam Kar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Teri Pall Bhar Ki Judai Mujhay Jeenay Nahi Deti,
Tere Bin Jo Mar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena....

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Monday 15 December 2008

Sirf Aap Ek Hai

Jaise Chand ke paas Taare anek hai
Par har Taare ke paas sirf Chand ek hai
Waise hi Aapke paas Dost anek hai
Par Humare paas sirf Aap ek hai

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 30 November 2008

Ek Love Shayri

nahiin ke milne milaane kaa sil_silaa rakhnaa
kisii bhii satah pe ko_ii to raabtaa rakhnaa


madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii
Gariib-e-shahar-e-sitam huuN meraa pataa rakhnaa


marenge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut
ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhnaa

naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aaooNgaa to meraa naam bhii nayaa rakhnaa


hisaar-e-shauq uThaanaa 'Akbar' zaruur magar
kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu bare pyaar se bare chaao se bare aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaa_ii mein charhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke KhizaaN lamhon mein
tuu kisii soch mein Duubii jo ghumaatii mujh ko
main tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii mooD mein aa kar mujhe chuumaa kartii
tere honTon kii shiddat se main dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindon ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa kartii
main tere kaan se lag kar ka_ii baaten kartaa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa kartaa
jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaaN
apanii aaNkhon ko tere husn se kheraa kartaa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
main terii ruuh ke gulashan mein mahaktaa rahtaa
main tere jism ke aaNgan mein khanaktaa rahtaa
kuchh nahiin to yahii benaam saa bandhan hotaa

kaash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri

terii talaash me.n ham jab kabhii nikalte hai.n
ik ajanabii kii tarah raaste badalte hai.n

daraaz ho Gam-e-hijraa.N ki haasil-e-hijraa.N
vo hausale.n hai.n jo aaGosh-e-Gam me.n palte hai.n

ravaa nahii.n hai Gam-e-ishq is qadar bhii Garuur
tere baGair bhii duniyaa ke kaam chalte hai.n


kabhii jo had se ba.Dhii un kii yaad to samajhe
ki un ke dil me.n bhii kuchh val_vale machalte hai.n

shab-e-firaaq kuchh aisii bhii tiiragii to nahii.n
kabhii kabhii sar-e-mizgaa.N charaaG jalte hai.n

ab un ke Gam se bhii maharuum ho na jaaye.n kabhii
vo jaanate hai.n ki is Gam se dil bahalte hai.n

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Shayri

Rat bher tanha raha din bhrer akaila main hi tha.
Shaher ki aabadiyon mein apne jaisa main hi tha.
Main hi dariya,main hi toofan,main hi tha her mauj bhi.
Main hi khud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha.
Kis liyy katra ke jata hai musafir dam to le.
Aaj sookha pairr hoon kal tera saya main hi tha.
Meri dhadkan sunne wala dil na tha dunia ke pas
Sab ki aahat, sab ki dadkan sunne wala main hi tha
Kitne jazbon ki nirali khushboein theen mere paas.
Koi un ko chahne wala nahin tha main hi tha

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 25 November 2008

Kya Baat Hai

kitabon k paano ko palat kar souchta hun yu palat jae zindage toh kya baat hai,
khuwabon mein jo roz milta he haqeqat mein aae toh kya baat hey,
kuch matlab ke lye dhunte hein mjhe bna mtlab aae toh kya baat he,
katal kar ke toh sab le jaen ge dil mera koe baton se le jae toh kya baat he,

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Saturday 8 November 2008

Hindi Shayri

Tum Kya Janno Tum

Tum jis chaand ko dekhthe ho
Mein uss chand ko dekhkar tumhein apne bahon ke darmiyaan paata hun
Tum kya jaano tum kya ho

Joh aftaabh tumhein dekhkar uthta hai
Mein usse tumhare aankhon ke roshni mein dekhtha hun
Tum kya jaano tum kya ho

Joh baharein tumhari khushboo se chid jaati hai
Unn kaliyon ko tumharein kadmon ke peeche rukhsath hote dekhta hun
Tum kya jaano tum kya ho

Maine kismat ko nahi maana tha
Par kismat ne tumhe kaise dhokha diya
Tum kya jaano tum kya ho

Jo pehchaan hum aapki kar sakte hai
Woh aapka aaina bayan nahi kar sakta
Tum kya jaano tum kya ho

Abh tum hi batao
Ki agar mein na rahun to tum kya ho .

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sher O Shayri

Is Zindagi Ka Naam Intzaar likh Diya

Dil Mein Jo Aaya Woh Likh Diya
Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya


Pehli Baar Mile The Yahan Hum
Un Raahon Ka Naam Manzil Likh Diya

Kiya Tune Tar Tar Mera Daman
Ja Maine Bhi Tujhe Bewafa Likh Diya


Ishq Ka Janoon Thaa Ya Deewanapan
Jo Apni Saanso Ko Tere Naam Likh Diya


Teri Judai Hai Ab Mukaddar Mera
Is Zindagi Ka Naam Intzaar Likh Diya


Dard-E-Mohabbat Ke Siva Shayari Hai Kya
Ja Tera Naam Hamne Gazal Likh Diya


Dafan Ho Gayi Har Aarzoo Seene Mein
'someone' Ne Jabse Tujhe Sanam Likh Diya

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Monday 20 October 2008

Hindi Shayri

Umar k Uljhye Huwe Raston Par

Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot
Hum tere dhayan main gum the
Aur phir har taraf phali huy
Bekhayali thi bohot
Aik sehmi huy umeed humari janib
Tere bare main sawali thi bohot
Hum ne bhi apni tamana ek ek
Teri janib hi uchali thi bohot
Aur jab louti to khali thi bohot
Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Unse Hi Dil Lagta : Shayri

Barson ho gaye raakh bane huye
Par dhunwa uthta baar baar Q hai

Zamana ho gaya zakhm lage huye
Ye Riista baar baar Q hai

Mohobbat dard ban kar reh gayi
Ashqon ka sailaab tut'ta baar baar Q hai

Jeetnay ki koshish karte hain hamesha
Par mukaddar haarta baar baar Q hai

Koi sahil pe pohnachay bhi kaise
Yahan tufan guzarta baar baar Q hai

Har lamha badalti hai fitrat jinki
Unse hi Dil lagta baar baar Q hai

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 14 October 2008

Mujhe Mil Gaya Tu :- Ek Shayri

Mili gul ko khushbo
Mujhe mil gaya tu
Pasand apni apni
Naseeb apna apna

Mohabbat ki rahoon main
Agar tu na milta
To yeh zindagi kitni
Dushwaar hoti
Na aankhon main jine ka
Armaan hota
Na koy khushi dil main
bedaar hoti

Jo chaha tha main ne
Mujhe mil gaya hay
Mere dil main ab koy
Hasrat naheen hay

Hay imaan mera
Mohabbat se bhar kar
Zamane main koy bhi
Dolat naheen hay

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri :- Bohut Udas Houn Main

Mujay gale say laga lo bohot udas houn main

Gham_e jahan say chura lo bohot udaas houn main

Yeh intizaar ka dukh ab sha nahi jata

Tarap rahi hay mohabbat raha nahi jata

Tum apnay paas bla lo bohot udaas houn main

Batak chuka houn bohot zindgi ki rahon main

Mujay ab a k chupa lo apnii bahon main

Mera sawal na talo bohot udaas houn main

Har ik saans main milnay ki pyaas palti hay

Sulag raha hay badan aur rouh jalti hay

Bacha sako tu bacha lo bohot udaas houn main

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Qaum K Paas Agar Thora Sa Mind Hota

Qaum k paas agar thora sa mind hota

Hukamran apna na asa bhi blind hota

Jab bhi woh hans k mila karta mujhye farhatje

Kuch na kuch peeich zaroor is k behind hota

Tu bhi aankhon main liye phirta kisi dard ki reet

Tera bhi khawab mere dukh main grind hota

A gaya hota agar aik bhi aankhon wala

Sheher ka sheher to aise na blind hota

Mahirbanon k nagar main,main khara sochta houn

Kaash woh shaks bhi mere liye kind hota

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 1 October 2008

Kahan jao ge .?

Rooth kar meri dunya se kahan jao ge
cheen sehra main bhee na aaya to kahan jao ge

jis roshni ki justujo main nikle the ghar se tum
us roshni ne daraya to kahan jao ge

dukhun ki dor main bais sukoon tha ik shakhs
aaj usi ne sataya to kahan jao ge

abad he jis se khwab o khayal ke ik dunya
aaj wo khuwab main na aaya to kahan jaao ge

un se adaawat hi sahi phir bhi janan
aaj apno ne bhulaya to kahan jao ge

ishq main khuda ko na bhool jana flower
haath khuda bhi na aya to kahan jao ge

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Saturday 20 September 2008

Kaise Bitye Gi :- Shayri

Saathi mere bin tere
Kaise bitye gi
Umariya bin tere
Suni lage rye
Yeh nagariya bin tere
Saathi mere bin tere

Aik din ruth kar hum chale the
Bewafa tu ne roki theen rahein
Pyaar mushkil hay
Hum ne kaha tha
Tu ne yeh kaha phir
Bhar k ahhein
kaise betye gi
Umariya bin tere

Joothe nikle sabhi tere wahde
Yaad kar o badal jane wale
Tere wahdon pe hum
Mar mite hain
Apne qadmon se
Thukrane wale
Suni lage rye
Yeh nagariya bin tere
Saathi mere

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 16 September 2008

Dil Se

Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyar Krne Ki Kya Khub SAZA MILI

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Manzil Manzil Sath Raheen Ge ; Shayri

Kitni bar mile hain lekin
Aaj bhi yun lagta hay k
Jase mile hoon pahli baar

Manzil manzil sath raheen ge
Pyaar ki in rahoon main
Yeh duniya lakh bane diwaar

Aankhon main hay teri surat
Har dharkan pe khaab hay tera

Sansoon main hay teri khushbo
Mere laboon par naam hay tera
Tuj ko pa kar dil main basa kar
Mil gaya muj ko karrar
Khila hay khushiyon ka gulzaar

Dil main mere sathi tu ne
Apne pyaar k geet sajaye

Tu ne a kar mere lab par
Shokh hansi k phool khilaye
Meri nigaheen har pal chaheen
Tera haseen dedaar k
Tuj bin jina hay bekaar

Kitni bar mile hain lekin
Aaj bhi yun lagta hay k
Jase mile hoon pahli baar

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 14 September 2008

Shayriyan

<< Ehsaas >>
Apki mohabat ka
<< Yakin >>
Apki baton ka
<< Kadar >>
Apke naam ki
<< Fakar >>
Apse dosti ka
<< Intjar Apki Yes ka >>
Na jane kab aoge aap

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 10 September 2008

Jab Naam Tera Pyar Se

jab naam tera pyar se likhatii hain meri ungaliyaan,
merii taraf zamaane kii uthatii hain ungaliyaan.

daaman sanam kaa haath men aayaa tha ek pal,
din raat us ek pal se mahakatii hain ungaliyaan.

jis din se duur ho gaye us din se hii sanam,
bas din tumhaare aane ke ginatii hain ungaliyaan.

patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa,
fankaar kii zamaane men katatii hain ungaliyaan.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 11 July 2008

Pasand aaye aapko...

Pasand aaye aapko to thoda tareef ho jaye,
Kush ho jaye woh, jiska yeh kahyal hai.
Humne to sirf hawa to iss taraf moda,
Kambaqt copy-paste ka zamaana hai.


After a long time here.....

Regards,
Brijesh

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Meri Kawish Misra e Tarah per

Rothtay hoin kia kabhi aisay zindagi say
"Khata hoti hay sahib aadmi say"

Bay dharrak hi dil main utar gaye thay tum
Couch milay thay hamain aisi sadgi say

Nah phariye nazrain hamaray haqooq say
Nahin milay gi jannat srif bandagi say

Kehkashain si bikhar hoien thin her tarf
Utray thay aisay saf rastay, roshni say

Badal tu ghir ghir aatay hain roz roz
Per sawan guzra jata hay bay rukhi say

Hamaray darmiyan tu yaranay thay barso k
Per aaj kiyon tum lagtay ho ajnabi say

Aao k ahead-e-wafa phir say kartay hain Ghazal
Pinap hi jain gain rishtay, chandni say

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 2 July 2008

Aapko

Savera kya hua sitaron ko bhool gaye,
Suraj kya nikla chand ko bhul gaye,
Guzre kya kuchh pal aapke bina,
Aapko laga ki hum aapko bhool Gaye

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuut gayaa.......

aaj ashkon kaa taar tuut gayaa
rishtaa-e-intazaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~
yuun vo thukaraa ke chal diye goyaa
ik khilaunaa thaa pyaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~
roye rah-rah kar hichkiyaan lekar
saaz-e-Gam baar baar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
aap kii beruKhii kaa shikavaa kyaa
dil thaa naapaa_idaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~
dekh lii dil ne besabaatii-e-gul
phir tilism-e-bahaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~
kyaa chaar din kii ranjish se
itanii muddat kaa pyaar tuut gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Chund Lamhey

Chund lamhey...
by Mahheen

wohi awaz...
bholi si...
wohi nigahain... shararat bhari
aawaz main kuch khushi,
kuch hairangi
aur chund lamhoon ki khamoshi
aur kuch bayrabt baatein...
aaj hum nay ji bhar kai keen.. .

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Ek Shayri

Ek Sahra tha jo saraab sa
ye khawab tha ya azab tha

usay dekhta to tha har koi
par yeh kisi ne socha nahi
ke yeh jalwa tha ya naqab tha
ye khawab tha ya azab tha

kahin banti thi jo dhanak kabhi
jis mein bikhre hote the rang sabhi
is dhanak mein gard thi ya aab tha
ye khawab tha ya azab tha

kayee bagh the jo ujar gaye
kayee phool the jo bikhar gaye
yahan aaya koi sailaab tha
yeh sailaab ya azab tha
ik khawab tha jo azab tha

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 8 June 2008

Humari Ankhain

Ao Dekho
Humari Ankhain Sulg Rahi Hain
Humari Ankhain Tumhari Rahoon Ki Muntazir Hain
Hazar Jugno Utter Rahy Hain
Hum Apny Ander Bikher Rahy hain
Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadoon Ki Khushboon Se Mahak Rahy Hain
Khial Apny Sisk Rahy Hain
Laboon Pe Kasi Yeh Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzr Rahy Hain
Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Apny Furqat Ke Ansuon Ko Chupa Rahy Hain
Tumhain Hum Itna Bata Rahy Hain
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na
Hussn Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na
Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Teri Socho Mai ...

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 27 May 2008

Tu Jo Paida Howa Kitna Majbor Tha

Ye Jaha Teri Socho Se Bhi Door Tha
Hath Paao Bhi Tab Teray Apnay Na Thay
Teri Ankho Me Dunia K Sapnay Na Thay


Tujh Ko Atta Tha Jo Srif Rona Hi Tha
Dodh Pi Kar Tera Kaam Srif Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Mai Basaya Tha Maa Ne Teri


Maa K Saye Mai Tu Parwan Charnay Laga
Waqat K Sath Qaad Tera Bharnay Laga
Deheray Dheeray Tu Kariyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Sara Jaha Phir Meharban Hogaya


Zor_E_Bazo Pe Tu Bat Karnay Laga
Khud Samjhnay Laga Khud Sawarnay Laga
Ik Din Aik Haseena Tuje Baha Gai
Ban K Duhlan Phir Wo Tere Ghar Agai


Apnay Faraz Se Tu Door Honay Laga
Beach Nafrat Ka Kuhd Tu Bonay Laga
Phir Maa Ko Apni Tu Bhulanay Laga
Teir Bato Ka Phir Tu Chalanay Laga


Bat Bat Pe Us Se Tu Larnay Laga
Qaida Ik Naya Tu Pahrnay Laga
Yad Kar Tujh Se Maa Nay Kaha Ik Din
Ab Mera Guzara Nahi Hay Tere Bin


Sun Kar Ye Bat Tu Taish Mai Agaya
Tera Gusa Teri Aqal Ko Kah Gaya
Josh Mai Aa Kar Tu Ne Maa Se Kaha
Mai Kahmosh Tha Dekhta Raha


Ajj Kheta Ho Pecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Wo Tor Do
Jao Kahi Ja Kar Kam Dhanda Karo
Log Martay Hain Tum Bhi Kahi Ja Maro


Beth Kar Ahha Bharti Thi Wo Rat Bhar
Na Howa Uski Ahha Ka Tujh Per Asar
Zindagi Har Dum Usay Phir Satati Rahi
Khon K Anso Usay Phir Pilati Rahi


Ik Din Moot Ko Bhi Taras Agya
Us Ka Rona Taqdeer Ko Baha Gaya
Asahk Ankho Mai Lai Kar Rawana Hoi
Ik Hichki Ajal Ka Bahana Hoi


Mudatain Hogai Ajj Bhora Hai Tu
Jo Para Toti Khutiya Pe Kora Hai Tu
Tere Bachay Bhi Ab Tujh Se Dartay Nai
Nafratain Hain Mohbbat Wo Kartay Nai


Dard Mai Tu Pukaray K O Meri Maa
Tere Dum Say Roshan Tha Ye Mera Jaha
Waqat Chalta Rahta Hai Rukta Nai
Tot Jata Hai Wo Jo Juhkta Nahi


Ban K Tu Ibrat Ka Nisha Rah Gaya
Dhund Per Bana Tera Makan Rah Gaya
Kat Le Tu Wohi Tune Boya Tha Jo
Tujh Ko Kasay Milay Tune Khoya Tha Jo

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

ek ham the ke bik gaye Khud hii

kabhii aansuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibon ne bekasii bechii

chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz thodii sii zindagii bechii

jab rulaane lage mujhe saaye
main ne uqtaa ke raushanii bechii

ek ham the ke bik gaye Khud hii
varanaa duniyaa ne dostii bechii

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….

Sochta Hoon Iin Sagar ki Leharon ko dekh kar..
Kyun yeh kinaron se takrakar laut jaati hain…
Karti hain yeh kinaron se Bewafaai…
Ya phir Sagar se Wafa Nibhati hain….
```````````````````````````````````````````
``````````````````````````````````````````
Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….
````````````````````````````````````````````
````````````````````````````````````````````
Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.
```````````````````````````````````````````
```````````````````````````````````````````
Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Kisi se besabab uljha nahi tha

Kisi se besabab uljha nahi tha
Woh pehlay tu kabhi aisa nahi tha

Woh phir b yaad rakhna chahta tha
Agarchay main usse bhoola nahi tha

Bht a'ala tha uska zarf lekin
Woh meri Zaat ko samjha nahi tha

Woh jese berukhi se chal para tha
Main itna b gaya guzra nahi tha

Usse main kiun bura tehraun akhir
Woh acha tha faqat mera nahi tha

Syed Bilal

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 25 May 2008

Jab Bhi Qareeb Aata

Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye !
Zindagi Door Rakhti Hai Satanay K Liye !

MehfilOn Ki Shaan Na Samajhna Mujhay !
Main To Hansta HoOn GHum Chupanay K Liye !

In FaaslOn Ko Na Samjho Meri Be-Wafayi !
Main DOor HOon Tumse, Paas Aanay k Liye !

Mat Jano HaQeeQat Mere In AansuOn Ko !
Main To ROota HOon Tumhein Rulanay K Liye !

Koi Gila Nahi Hai Mujhay Apni Barbadi Ka!
Main To Khaila Tha Aag Se Jal Janay k Liye !

Ab Duniya Kuch Bhi Kahay, Mujhay Parwa Nahi !
Main To Jeeta Tha Zindagi, Mar Janay K Liye !

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Laut aao ki umeed

Laut aao ki umeed ki shama bujhne ko hai,
Is jism se ye sans juda hone ko hai.

Is mushfir ko ek didar e yaar to kara
Aakhri guzarish ab bas tum se hai..

Meri muflishi mere hi kaam aayi,
Teri zandgi ki rah har samee kharam aayi

Tadapte rahe hum tere didar- e mutzar ko
Ham se milne aaye kabhi wo sham na aayi..

"Masoom" the hum teri ye aada samjh na aayi
Tum ko tha jo passand har baat mere samne aayi

Hum to the tere rahee tak arr
dua teri kisi aur ke nam aayi

Hamri zandgi me koi khusi ki sham na aayi
Bas yaad karte rahe tujhe hum, par teri yaad na aayi

mar bhi gaye the hum ek baar
Par meri kabar par teri chadar na aayi

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri - Pooch Lo Tum

Pooch Lo Tum
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyi,
Mil Liye Tum Apne is Deewane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hoon Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Baat kar tujh pe gumaan

Baat kar tujh pe gumaan hone laga tasveer ka
Muntazir kab se hai gair teree taqareer ka

Raat kya soey ke baqee umar kee neend bhee urr gaee
Khuwab kya dekha ke dharka lag gaya taabeer ka

Kese paya tha tujhe kis tarah khoya tujhe
Mujh sa munkir bhee ho gaya qayal taqdeer ka

Jane kis aalam mein tu bichara hai ke tere bagair
Aaj tak har naqsh faryadi hai meree tahareer ka

Jis ko bhee chaha baree shidad se chaha hai
Silsilaa toota nahi hai dard kee zanjeer ka

Labels: , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri

Sochta hoon usy neend bhi aati ho giya
meri tarhan faqat aashq bahati ho gi
meri shakal mera nam bholany wali
apni tasweer say kya aankh milati hogi
sham hoty hi chokhat par jala kar shameen
apny palkoon par kayi khowab sulati hogi
is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libasab
moharam ki tarhanEid mnati ho gi
mery bossy ki talab mein pagaljab bhi
zulfoon mein koi phol sjati ho gi

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri - Ek Arz

Ek Arz
Laut aao ki umeed ki shama bujhne ko hai,
Is jism se ye sans juda hone ko hai.

Is mushfir ko ek didar e yaar to kara
Aakhri guzarish ab bas tum se hai..

Meri muflishi mere hi kaam aayi,
Teri zandgi ki rah har samee kharam aayi

Tadapte rahe hum tere didar- e mutzar ko
Ham se milne aaye kabhi wo sham na aayi..

"Masoom" the hum teri ye aada samjh na aayi
Tum ko tha jo passand har baat mere samne aayi

Hum to the tere rahee tak arr
dua teri kisi aur ke nam aayi

Hamri zandgi me koi khusi ki sham na aayi
Bas yaad karte rahe tujhe hum, par teri yaad na aayi

mar bhi gaye the hum ek baar
Par meri kabar par teri chadar na aayi

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 6 May 2008

You are Very Beautiful!!!!!

I liked this ... so just shared with you dear ones!!!!!!!!


बहूत खूबसूरत हो तुम, बहुत खूबसूरत हो तुम !
कभी मैं जो कह दूं मोहब्बत है तुम से !
तो मुझको खुदारा गलत मत समझना !
के मेरी जरुरत हो तुम, बहुत खूबसूरत हो तुम !

है फ़ुलों की डाली, ये बाहें तुम्हारी !
है खामोश जादू निगाहें तुम्हारी !
जो काटें हों सब अपने दामन में भर लूं !
सजाउं मैं इनसे राहें तुम्हारी !
नज़र से जमाने की खुद को बचाना !
किसी और से देखो दिल न लगाना !
के मेरी अमानत हो तुम !
बहुत खूबसूरत हो तुम !

है चेहरा तुम्हारा के दिन है सुनेहरा !
और उस पर ये काली घटाओं का पेहरा !
गुलाबों से नाजु़क मेहकता बदन है !
ये लब है तुम्हारा के खिलता चमन है !
बिखेरो जो जु़ल्फ़ें तो शरमाये बादल !
ये साहिल भी देखे तो हो जाये पागल !
वो पाकीजा़ मुरत हो तुम !
बहुत खूबसूरत हो तुम !

मोहब्बत हो तुम, बहुत खूबसूरत हो तुम !
जो बन के कली मुस्कूराती है अक्सर !
शबे हिज्र मैं जो रुलाती है अक्सर !
जो लम्हों ही लम्हों मे दुनिया बदल दे !
जो शायर को दे जाये पेहलु ग़ज़ल की !
छुपाना जो चाहे छुपाई न जाये !
भुलाना जो चाहे भुलाई न जाये !
वो पेहली मोहब्बत हो तुम !
बहुत खूबसूरत हो तुम !!

Labels: , , , , , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Saturday 3 May 2008

Hindi Shayri

Socha nahi Achcha bura, Dekha-Suna kuch bhi nahi
Socha nahi Achcha bura, Dekha-Suna kuch bhi nahi,
Manga khuda se din raat, Tere siwa kuch bhi nahi,

Socha tujhe, dekha tujhe, chaha tujhe, puja tujhe,
meri wafa meri khata, teri khata kuch bhi nahi,

Jis par hamari ankh ne moti bichaye raat bhar,
Bheja wahi kagaj use, hamne likha kuch bhi nahi,

Ek shaam ki dahalij par bethe rahe wo der tak,
Ankhon se ki batein bahut, munh se kaha kuch bhi nahi,

Do char din ki baat hai, dil khak me so jayega,
Jab aang par kagaj rakha, baki bacha kuch bhi nahi,

Ehsas ki khushbu kahan, awaj ke jugnu kahan,
khamosh yadon ke siwa, ghar me raha kuch bhi nahi...

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 30 April 2008

Hindi Shayri : Abhi mumkin nahi hai...

Abhi mumkin nahi hai
ghazal kahna
kisi sachi mohabat ki judai per
dukhon ke darmiyan reh ker
wafa ki nazm likh lena
abhi mumkin nahi


abhi mumkin nahi
hijr ke mousam ki ankhon se
kisi ke wasl ki baaton ke haathon per
dua ke harf parh lena
abhi mumkin nahi
abhi mumkiin nahi
khushbu ke chaand chehroon per
kisi khushbu ke rangoon ka bikher jana
mehek uthna
abhi mumkin nahi
abhi mumkin nahi
shehr shaam dushmanaa_N ki
wahshat namehrbaan mien phir
mohabat ka biyaan karna
abhi mumkin nahi hai

Labels: , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 20 April 2008

Hindi Shayri - Jo hai LAKSHAY hai apna!

Jo hai LAKSHAY hai apna!
Ek Lakshy hai sapno ki tarah,
Pa lu unhe apno ki tarah,
badi aarju se dhekha hai ek sapna,
jo hai LAKSHAY hai apna!
mana raho mai takleefe or muskile aayengi,
or na jane kitni kathnaiyo ka samna,
ye waqt karayega,
har rasto par kante bhijhayega, magar hum muskuraeege!
jo larkhda gaye raho mai,
na sambhlenge kisi ki bhaho mai,
jo mit gai rahe,to dagar nai banayenge,
uljhne kitni bhi ho, hum suljhayenge!

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 27 February 2008

Hindi Shayri

Meri soch ki hadain hain jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho.


If anyone to like make my friend contact me

--
Zareef Ahmad,
System Administrator,
Dataman Computer System (P) Ltd.
Kanpur.
E-mail:- zareefmza@gmail.com
Ph.09336269364

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Shayris

Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

Main to na chala tha do kad bhi tum bin
Phir bhi mera bachpan yehi samjhe har din
Chhod ke mujhe bhala ab kahan jaoge tum
Chhod ke mujhe bhala ab kahan jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

Baaton kabhi haathon se bhi maara hai tumhein
Sada yehi kehki hi pukaara hai tumhein
Kya kar loge mera jo bigad jaoge tum
Kya kar loge mera jo bigad jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

Dekho mere aansoo yehi karte hain pukaar
Aao chale aao mere bhai mere yaar
Poochne aansoo mere kya nahin aaoge tum
Poochne aansoo mere kya nahin aaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

--
Zareef Ahmad,
System Administrator,
Dataman Computer System (P) Ltd.
Kanpur.
E-mail:- zareefmza@gmail.com
Ph.09336269364

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 20 February 2008

Sher Shayris

1 Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho

2 Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 17 February 2008

Thakk Gai : Sher Shayri

thakk gai meri zaat hey,
bardasht nahi,
nidhaal hoon.

inteezar hai faqat itna,
bhoje ga kabh chirag-e-zindagi!

ke khatam hain sabh aanso,
nahi hey baqi aas abh.

manzalain sabhi hain kho chukin,
umeedain hain sabhi totti hoin.

bewafai ke bojh talay,
dabb chuke hain sabhi aarman merey,

sabh sapney hain abh bikhar gaye!
par chukki hein dararain abh
dil ke darro-deewar pe.

gila nahi kisi se abh,
afsos hai bas itna!

maana merey wajood ne,
toofan ko sahara-e-zindagi!

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 10 February 2008

Mujhay aksar woh kehti thi : Hindi Shayri

mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
hijr ka khauf be-matlab vasl k khawab be-maani
koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hay
usay kyun khamoshi kahiye k jis main baat rehti hay
yeh aansoo be-zuban aansoo bhala kia bol saktay hain
kahan dil main kisi ki yaad se toofaan uthtay hain
kahan palkon k saaye main nami din raat rehti hay
kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay
mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hay
k us ki jheel aankhon main hijr ka khauf rehta hay
vasl k khawab rehte hain wahan barsaat rehti hay
yun lagta hay kayee raaton se woh soyee nahi shayad
yun lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay
or us ki narm palkon k haseen saye bhi geelay hain
or us ki khamoshi aisi k jis main baat rehti hay
mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti
keh ab shayad mohabbat ki woh sab ramzain samajhti hay..

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Ankhain : Hindi Shayri

har shahar say guzartay hua
ek hi tamanna ankhon mein
har raah par har modh par
ek tu hi na tha ankhon mein...

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Mangaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhi nahin... : Hindi Shayri

Sochaaa nahin acha buraa dekhaaa sunaa kuchh bhi nahin...
mangaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhi nahin...

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa meri wafaa teri Khataa kuchh bhi nahin...

jis par hamari aankh ne moti bichhaaye raat bhar
bhejaa wahi kaagaz usey hamne likhaa kuchh bhi nahin...

ik shaam ki dahleez par baithe rahe wo dair tak
aankhon se ki baatein bahut muunh se kahaa kuchh bhii nahin

do chaar din ki baat hai dil Khaak mein so jaayegaa
jab aag par kaaGaz rakhaa baaki bachaa kuchh bhi nahin...

ehsaas ki Khushbuu kahan, aavaaz ke jugnuu kahaan
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar mein rahaa kuchh bhi nahin...

Syed Bilal

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Mein hoon tum ho aur khamoshi : Hindi Shayri

mein hoon tum ho aur khamoshi
jaanay kab door hogi ishq ki madhoshi

dekhtay hua zamana guzara hai
falak par door talak chandni ki sargoshi

mein hoon tum ho aur khamoshi...

toofanon kay caravan dil mein samaye
bhataktay rahay kadam nazarain tujhe par jamaaye

mil jao tum kisi raah kisi modh par
dharkan ab sahamnay lagi waqt ki khamoshi

mein hoon tum ho aur khamoshi....

kyon tumsay umeed lagi hai har pal
manzil ho tum toh phir kaisi faraamoshi

labon kay khultay hi raaz khul jaayengay
rah jaayega milan archana aur ishq ki madhoshi

mein hoon tum ho aur khamoshi...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Koi Diwana Kehta Hai : Hindi Shayri

Koi Diwana Kehta Hai, Koi Pagal Samjhta Hai
Magar Dharti Ki Bachani Ko Bas Badal Samjhta Hai
Tu Mujhse Door Kaisi Hai, Me Tujhse Door Kaisa Hu
Ye Mera Dil Samjhta Hai Ya Tera Dil Samjhta Hai

Mohbat Ek Ehssaso Ki Pawan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Diwana Tha, Kabhi Meera Diwani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hai Meri Aankhon Me Aasun Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai.


by
ali

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 5 February 2008

Shayad zindagi - Hindi Shayari

Shayad zindagi ke sitam abhi aur baaki the
Jo mujhe maut naseeb na hui
Shayad kisi ki mohobatt ke vaade adhoore the
Jo mujhe khushi naseeb na hui

Shayad kisi ke paas mere liye shikave baaki the
Jo mujhe koi hasrat naseeb na hui
Shayad KHUDA ki kalam mein abhi siahi aur baaki thi
Jo yeh zindgaani bhi mere naseeb na hui

Shayad kabargaah mein phoolo ki mehak baaki thi
Jo mujhe teri aahein bhi naseeb na hui
Shayad mere gunahon ki takreer badi lambi thi
Jo mujhe jaate teri ik jhalak bhi naseeb na hui

Shayad taqdeer ko bhi mujhse koi peshaani thi
Jo dafan ho ke bhi meri rooh ko
Koi Aasaani naseeb na hui

Shayad mohobatt ki kahani mein
Dard ke panne aur baki the
Jo mujhe koi muskaan naseeb na hui

Mili to zilat tu na mili
Khuda ki Bedardi to dekho
Naam bhi mila mujhe Bewafai
Naseeba te door mujhe Taqdeer bhi naseeb na hui.

Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.
Raining eyes.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 1 February 2008

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Syed Bilal

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 13 January 2008

Teri awaaz ka asar

teri awaaz ne mujpar ya asar kar diya....
mohabbat meri tapdapti thi isi soch mein....
kabhi na suna tha is beghane ko.....
fhir bhi ek kashish si ranj paida karti thi....

तेरी आवाज़ ने मुझपर ये असर कर दिया....
मोहब्बत मेरी तडपती थी इसी सोच मे....
कभी ना सुना था इस बेगाने को....
फिर भी एक कशिश सी रंज़ पैदा करती थी....

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tumhari ADAA

Aankhen unchi hui to dua ban gayi,
aankhen nichi hui to haya ban gayi,
jo jhuk kar uthi to khata ban gayi,
aur uth kar jhuki to ADAA ban gayi.

आंख ऊची हुई तो दुआ बन गयी,
आंख नीची हुई तो हया बन गयी,
जो झुक कर उठी तो खता बन गयी,
और उठ कर झुकी तो अदा बन गयी.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Pyar mien kabhi kabhi

yaad ko yaad karoo to yaad bankar rah jaunga....
saath tere choda to pyaar bankar rah jaunga...
tere bina ek pal kaise katunga ye bata...
ye jhilmil si aankhein main kise dikhaunga ye bata...

याद को याद करू तो याद बनकर रह जाऊंगा....
साथ तेरे छोड तो प्यार बनकर रह जाऊंगा...
तेरे बिना एक पल कैसे काटूंगा ये बता...
ये झिलमिल सी आंखे मै किसे दिखाऊंगा ये बता...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tere Pyaar mien

jidhar dekhta hoon...tu aathi nazar hain...
dil aur jaan hain tu hi...tu hi jighar hain...
tuje poojtha hoon mein...tuje kya khabar hain...
tere pyaar par mujpe hua ye asar hain...

जिधर देखता हूँ ...तू आती नज़र है...
दिल और जान है तू ही... तू ही जिगर है...
तुझे पूजता हूँ मै...तुझे क्या खबर है...
तेरे प्यार पर मुझपे हुआ ये असर है...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Pyaar

Pyaar phoolon se ladi ek daali hai...
pyaar shabnam ke rukh ki laali hai...
haar kar bhi jeetta hai wo...
pyaar ki reet hi nirali hai....

प्यार फूलो से लडी एक डाली है...
प्यार शबनम के रुख की लाली है...
हार कर भी जीता है वो...
प्यार की रेत ही निराली है ....

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Mohabbat mien

Raat hogi to chand bhi duhai dege,
khayalo mai tumhe wo chehre dikhayi dege,
ye mohabbat hai zara sonch ke karna,
ek aansu bhi gira to sunai dega........

रात होगी तो चांद भी दुआई देंगे,
ख्यालो मे तुम्हे वो चेहरे दिखाई देंगे,
ये मोहब्बत है ज़रा सोच के करना,
एक आंसू भी गिरा तो सुनाई देगा.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Raat Suhani Ho Jaye

CHAAND AGAR NIKAL AAYE,
TO YE RAAT SUHANI HO JAYE
TUM BHI AGAR AA JAO KAREEB,
TO MAUSAM AUR BHI RUMANI HO JAYE.

AB AUR NA TADPAO AA BHI JAAO..

चाँद अगर निकल आये,
तो ये रात सुहानी हो जाये
तुम भी अगर आ जाओ करीब,
तो मौसम और भी रुमानी हो जाये.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Tera Naam

JIS SHAAM MERE LAB PAR TERA NAAM NA AAYE,
KHUDA KARE AISI SHAAM NA AAYE....
AYE JAAN-E-SHAHIL YE KABHI MUMKIN HI NAHIN,
MAIN GHAZAL LIKHUN AUR TERA NAAM NA AAYE.

जिस शाम मेरे लब पर तेरा नाम ना आये,
खुदा करे ऐसी शाम ना आये....
आये जान-ए-शाहिल ये कभी मुम्किन ही नही,
मै गज़ल लिखू और तेरा नाम ना आये.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Mari Chahat hain Tum Se

meri chahtain tum sy alag kab hain....
dill ki battain tum se chuppi kab hain....
tum sath rahoo dill main dharkan ki jagga...
phir zindagi ko sansoo ki zaroorat kab hai...

मेरी चाहते तुम से अलग कब है....
दिल की बाते तुम से छुपी कब है....
तुम साथ रहो दिल मे धडकन की जगा...
फिर ज़िन्दगी को सांसो की ज़रूरत कब है...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Aap Ke Ankhein

IN ANKHO KO DEKH KAR CHAAND BHI SHARMA JAYE....
AYE JAANAM HUMARI GUJARISH ZARA SUN LO....
APNI PALKEN JHUKAYE HI RAKHNA.......
KAHIN HUMSE KOI KHATA NA HO JAYE....

इन दिनो को देख कर चाँद भी शर्मा जाये....
ए जानम हमारी गुजारिश ज़रा सुन लो....
अपनी पलके झुकाये ही रखना.....
कही हमसे कोई खता ना हो जाये.....

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Aap ko dil mein chhupa rakha hai

Aap soch rahe hai ki aap ko bhula rakha hai,
aap ko dil mein chhupa rakha hai,
koi dekh na le aapko isiliye,
aankhon ki palkon ko jhukha rakha hai....

आप सोच रहे है की आप को भुला रखा है,
आप को दिल मे छुपा रखा है,
कोई देख ना ले आपको इसलिये,
आंखो की पलको को झुका रखा है....

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Apni agooosh main

Apni agooosh main:

apni agooosh main ik rooz chupa loo muj ko...
gham-e-dunya se maree dost bacha loo muj ko...
unn ko de di hai isharoon main ijjazat main ne....
mangnay se na millon to chura loo muj ko...

अपनी अगोश मै इक रोज़ छुपा लू मुझ को...
गम-ए-दुनिया से मेरी दोस्त बचा लू मुझ को...
उन को दे दी है इशारो मै इज्जाज़त मै ने....
मांगने से ना मिलू तो चुरा लू मुझ को...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

आशिको

AASHIKON KE DIL ME SAMANDAR HOTA HAI,
ISKI HAR BOOND ME ISHQ HOTA HAI,
JAB YE FOOT PADTA HAI AANKHON SE,
TO ISE ROK PAANAA BADA MUSHKIL HOTA HAI.

आशिको के दिल मे समुंद्र होता है,
इसकी हर बूंद मे इश्क़ होता है,
जब ये फूट पडता है आंखो से,
तो इसे रोक पाना बडा मुशकिल होता है.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti

Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti
Suraj Ke Samne Kabhi Raat Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Jinhe Jaan Se Bhi Jyada,
Wo Samne Hai Par Baat Bhi Nahi Hoti.

सिर्फ चाहने से कोई बात नही होती,
सुरज के सामने कभी रात नही होती,
हम चाहते है जिन्हे जान से भी ज्यादा,
वो सामने है पर बात भी नही होती.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Dil Mein Basa Ke Rakhna

Hothon pe pyaar ka tarana rakhna,
dil mein pyaar ka fasana rakhna,
hum dil-o jaan se chahte hain aapko,
bus hume apne dil mein basa ke rakhna.

होठों पे प्यार का तराना रख्नना,
दिल में प्यार का फसाना रखना,
हम दिल-ओ-जान से चाहते हैं आपको,
बस हमे अपने दिल में बसा के रखना.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 13 December 2007

Unhe lagta hoga : SMS Shayri

Unhe lagta hoga
Unhe lagta hoga
ki lut gaye hain hum
unki mohabbat main
unhe kya pata
ki muhabbat lutaana
mere shaukon main se ek hai.......

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 9 December 2007

Kya baat hai.........

Kya baat hai.........


1) Ishq kar deta hai bekrar, bhar deta hai pathar k dil mein pyaar, har 1
ko nahi milti zindagi ki ye bahar, kyunki ishq ka dusra naam hai
intezar..... ....

2) Mosam shabab ka,
Nasha sharab ka,
Parda janab ka or rang gulab ka,
in sabme haseen , in sabme Lajawab dekho SMS padne wala "Chehara Janab ka."

3) Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.

4) Aapki yad na aaye to hum bewafa, Aap bulao aur na aaye to hum bewafa,
Hume maarne k liye khanjar ki zarurat nahi,1bar nazar fer lo, na mar jaye
to hum bewafa.

5) Shaam bhi udas hogi raat bhi udas hogi,Kafan me lipti meri laash hogi...
Ae dafna ke janewalon unse keh do,Qabar me bhi unki tasvir mere saath
hogi....

6) Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,par zindagi kisiki mehboob nahi
banti,tamanna leker jeete hain sab log,magar har tamanna TAQDIR nahi
banti... Good morning

7) Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai
Khusboo tere anchal se hawao ne udai
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai

8) Na rahi aaj wo apni kahani, Na wo hasin din na wo raatein suhani, Phir
bhi hume aziz hai unki har nishaani, Chahe dil ka wo dard ho ya aankho ka paani...

9) Kisike dil me basna bura to nahi,kisiko dil me basana khata to
nahi,gunah hai ye zamane ki nazar me to kya hua,zamaane wale bhi insaan
hain khuda to nahi.

10) Patti, patti Gulab ban jati
Har kali mehare khwab ban jati
aapne dali na kuch aisi mehkdana najre
warna subhaki os bhi sharabh ban jati

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 25 November 2007

takla..

Door se dekha...
Door se dekha
Suraj doob raha tha
Nazdeek aake dekha...
Nazdeek aake dekha
Tho takla naha raha tha

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 21 November 2007

Kuchh Bahut Puraane sher..

1)
Hazaaron Line-en Aisi,
Ke Har Line pe bug nikle,
Bahut Nikle mere code mein bug,
Magar phir bhi kam nikle.

(RemixOf(
Hazaaron Khwaahishen Aisi,
Ke Har Khwaahish pe dum nikle,
Bahut nikle mere Armaan,
Magar phir bhi kam nikle.
))
[Note : Remix created by a friend called Joseph
Pradyot Kujur .]

2)
Hamen Jehar peene kee,
Chaahat na hoti,
Agar Tum na hote.

(RemixOf(
Hamen Aur Jeene Kee,
Chaahat na hoti,
Agar Tum na hote.
))

3)
Laayak nahin, Nalaayak hoon main,
Fraudy bada, dukhdaayak hoon main,
Is Job ki, mujhko kya samajh,
Is Job ke, kahaan laayak hoon main.

JEE HAN, MAIN HOON NALAAYAK !!!

(RemixOf(
Naayak nahin, Khalnaayak hoon main,
Julmi badaa, dukhdaayak hoon main,
Is Pyaar kee, mujhko kya kadar,
Is Pyaar Ke, kahaan laayak hoon main.

JEE HAN, MAIN HOON KHALNAAYAK
))

4)
Jab koi bug, nikal jaaye,
Yaa code, crash kar jaaye,
Kar dena, maaf mujhe,
O Customer !!

(RemixOf(
Jab koi baat, bigad jaaye,
Yaa koi, mushkil pad jaaye,
Tum dena, saath meraa,
O Humnavaaaab !!
))


5)
Program meraa, chalaate ho,
To kuchh, ghabra se jaate ho,
Isi ko crash, kehte hain,
Isi ko crash, kehte hain.

(RemixOf(
Nazar mujhse, milaati ho,
To Kuchh, sharmaa se jaati ho,
Isi ko, pyaar kehte hain,
Isi ko, pyaar kehte hain.
))

6)
Hamaari hi, coding ne,
Customer ko maraaa,
Jab bhi karenge,
Royega bechaaraa.

(RemixOf(
Hamaari hi, mutthi mein,
Aakash saaraaa,
Jab bhi khulegi,
Chamkegaa taaraa.
))

7)
Mera program bikne pe,
Main bahut khush hua,
Crash hota hai,
To phir kyaa hya ?
phir kyaa hua ?

(RemixOf(
Tumko khush dekh kar,
Main bahut khush hua,
Ye aankh bhar aayee,
To phir kya hua ?
phir kya hua ?
))

8)
Humkaa s/w engg. na samjho,
Hum bade kaam ke cheez,
Coding kaise kee jaati hai,
Humkaa hai tameez.

(RemixOf(
Humkaa aisa vaisa, na samjho,
Hum bade kaam ki cheez,
Kaun bura hai, kaun bhalaa hai,
Humkaa hai tameez.
))

9)
Crash hote hain, Code-E-Mahaan hee,
Site-E-Customer pe,
Woh kyaa khaak crash honge,
Jo Customer khud likhe.

(RemixOf(
Girte hain, Sher-E-Savaar hee,
Maidaan-E-Jung mein,
Woh kyaa khaak girenge,
Ho Ghutnon ke bal chalen.
))

Related Shar :
"Humko maaloom hai,
Zannat ki hakeekat lekin,
Dil ke khush rehne ko,
Gaalib, ye khyaal achhaa hai."


10)
Shaayad unka, aakhiri ho Ye Sher,
Subpe "Wah Wah", Ye samakh kar keh gaye.

(RemixOf(
Shaayad unka, aakhiri ho ye sitam,
Har sitam, hum ye samajh kar seh gaye.
))

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 15 November 2007

Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko...

Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai...

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sher Shayri

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho

Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho

In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho

Roz mar mar k mujhay jeenay ko kehtay kyon ho
Milnay aaatay ho to phir laut k jaatay kyon ho

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 11 November 2007

Diwali ke kavita

Diwali ke kavita

aap sabhi ko diwali ke shubkamana aur apni rachit ek kavita aap ko bej
raha hoon pl.

Muskarte hanste deep tum jalana
Jivan main nai khusiya lana
Dukh dard apne bhool kar
Sabko gale lagna

Sukh sampda aapke jivan main aaye
Laxmi ji aapke ghar main saamye
Bhul kar bhee aap ke jivan main
Ek bhee dukh na aaye

Jagmag Jagmag jalte ye sunder deep
Charo taraf roshni hee roshi ho
Mukesh kee duha yahee
Honto par aapki hardam hansi hee hansi ho

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Na Poochho ....

Na Poochho ..........................

Na poochho ham shab-e-ta'teel ab kaise guzaare haiN
Bohat takleef meiN yaaro meri qismat ke taare haiN

Hamaare roo-ba-roo rehta hai har dam computer ab
To kya keh zaKHm-haa-e- dil hameiN har dam pukaare haiN

Ba-faiz-e-naa- suboori ham shumaar-e-ehl- e-dil to the
Par ab ham ehl-e-fan haiN, itminaan-e-dil ke maare haiN

Na kaarobaar-e- laffaazi, na jaadu kaif-e-masti ka
Musaafat kya keh chaaroN simt dharti ke kinaare haiN

KahaaN sham'-e-mazaar- e-'aashiq- e-KHasta, kahaaN "VIRGO"
Naye Haalaat jo apne haiN, qudrat ke ishaare haiN

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Raste Kathan

Raste Kathan

Raste Kathan Dhoop Mein Shidat Bhi Bohut Thi
Saye Se Magar Iss Ko Mohabbat Bhi Bohut Thi
Khameye Na Koye Mera Musafir K Jalaye
Zakhmi They Bohut Pao Musafir Bhi Bohut Thi

Sub Dost Meray Muntazir - e - Purda Shub They
Din Mein Toh Safar Kurne Mein Waqt Bhi Bohut Thi
Barish Ki Duawaon Mein Nami Ankh Ki Mil Jaye
Jazbe Ki Kabhi Itni Rafaqat Bhi Bohut Thi

Kuch Toh Tere Mausum Hi Muje Raas Kum Aye
Aur Kuch Meri Mitti Mein Bagawat Bhi Bohut Thi
Phoolon Ka Bikharna To Muqadar Hi Tha' Lekin
Kuch Iss Mein Hawaon Ki Siyasut Bhi Bohut Thi

Khush Aye Tuje Sheher Munafiq Ki Amri
Hum Logon Ko Such Kehne Ki Adat Bhi Bohut Thi
Iss Turk-e-Rafaqat Pe Pareshan Toh Hun ' Lekin
Abh Tuk Ke Tere Saath Pe Hairut Bhi Bohut Thi

Durya Ki Taraf Pasht Kiyen Kaun Khara Tha
Jis Waqt Keh Suraj Mein Tamazat Bhi Bohut Thi

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 9 November 2007

HINDI SMS FROM MY MOBILE

Apne haathon se yun chehre ko chupate kyun ho,
mujh se sharmate ho toh yun samne aate kyun ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho toh phir pyaar chupate kyun ho


Har sohni cheez da malik tu,
kuch rob jeha vi rakhia kar,
din dhalda sanu vekhan de,
tu charda suraj takia kar,
ron nu asi bathere ha,
tu khid khid sohnya hasya kar.


Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi.


Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 30 October 2007

WO AB MILAY BHE TO NILTA HAI IS TRAH JAISAY : Hindi Shayri

Wo Ab Milay Bhe To


Dar e Qafas Sey Paray Jab Saba gUzarti hAi
Kisay Khabar AseerOun Pey Kya guzarti hai

Taluqaat Kabhe Is Qadar Na tootay Thay
K Teri Yaad Bhe Dil Sey Khaffa guzarti hai

Wo Ab Milay Bhe To Milta hAi Is Trah jaisay
Bujhay Charagh Ko Choo Kar Hawa gazarti hai

Yeh Ehal e Hijjr Kii Basti hAi Ikhtyaat Sey Chal
Museebatoun Ki Yhaan Inteha Ki Guzarti hai

Bhanwar Sey Bach To Gaiyen KaShtiyaam Magar Ab K
Diloun Kii Khair K mouj e Bala Guzartii hai

Na pooch Apni Aana Kii Bghawatien "RamU "
Dar e QabOol Sey Bach K dUa Guzarti hai

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Aap Se Jab Jab Bhi Kuch Kahene Ka Kahayal Aya.... : Shayri

Aap Se Jab Jab Bhi Kuch Kahene Ka Kahayal Aya....

Aap Se Jab Jab Bhi Kuch Kahene Ka Kahayal Aya....
Bari Mushkil se Humne apane lafzo ko sajaya.....

rah mai jab bhi ap nazar aate hai ....
hotho par jamaye sare bol bikhar jate hai....

halak par awaz anne par kuch dar to lagati hai....
magar jab kahene ko kuch hote hai to ap guzar jate hai...

u aj tak to hum apase kuch kah nahi paye hai ........
har kar apane jazbat is kagaz par sajaye hai....

ye to kuch zayada hoga magar itani si farmiyesh hai.........
ek pak dillagi ki khawaish hai .......

ye eashan apaka hoga bhul hamari hogi ........
agar ye mohabbt hamari kabul hogi.....

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 25 October 2007

शेर शायरी

शेर-शायरी

दोस्ती के किस्से हम सुनाएँगे,
सफ़र साथ गुज़ारा आगे भी निभाएँगे,
ना जाने फिर कब मिले ना मिले,
एक दूसरे के दिल मे बस जाएँगे

वह काग़ज़ के नोट आज तकदीर बन गये,
ना जाने पीछे कितने रिश्ते छूट गये.....
हम तो जी रहे है इस तरह के,
ज़िंदगी को भूल कर सिर्फ़ ज़िंदा रह गये

हम रूठे तो मनाना ,
हम बिछड़े तो मिलने आना,
हम रोए तो हसाना,
हमको कभी भूल मत जाना

जैसे के कोई बैर है,
कश्ती और पानी मैं,
कभी तैर लेती है कश्ती,
कभी समा जाती है पानी में

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Friday 19 October 2007

Mere Khuda...

The below Nazm is written by my wife who thinks cannot live without
me. Would appreciate your comments to boost her up to write more.
Cheers!!!

Mere Khuda……
Tume na hote
mera Khuda na hota
kisko pujte kisko apna kahete
kis se pyaar karte
agar tume na hote…
kaun humein pyaar kerta,
mujhe meri jaan kehta
agar tume na hote…
Bus mujhe mere Khuda se ek shikayat hai
jab main ruthu wo mujhe manaye
itna haseen hai uska manana
kitna haseen hoga ye mera armaan hai
jo mujhe itna pyaar kerta hai
hum dono ek jaan hain
tum na hote mera khuda na hota
chahne wala na hota
Ab bus ek hi kwaish hai ki
hum dono ka saath hojaye
or ye doorie mit jaaye
kabhie maut aaye to
unki bahawon me dum nikale
suna hai Khuda to sabh ka hota hai
per ye Khuda sirf mera hai or mera hai,
or mere se bahot pyaar kerta hai
tume na hote mera khuda na hota

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 17 October 2007

Kaha usne bharosa dil par itna nae karte....: Hindi Shayri

Kaha usne bharosa dil par itna nae karte....
kaha usne bharosa dil par itna nae karte
kaha mein ne k mohabat mein kabhi socha nae karte!

kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
kaha mein ne k jab tum ho tu kch dehka nae karte!

kaha usne mein tum se dur hun lekin tmara hun
kaha mein ne k sapne dil ko behlaya nae karte!

kaha usne tmari chahat mein ruswayan hongi
kaha mein ne shorat se gabraya nae karte!

kaha usne samjh jao samjh jao ae mere pagal!!
kaha mein ne k dewaney ko samjhaya nae karte!!!

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Saturday 13 October 2007

Kuch Kuch pagal hotay hain : Shayri

Pyaar Ke Deep Jalane wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai


Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.

Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.

Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hai
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Us Ke ISHQ Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai : Shayri

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai
Tum Pass Nahin Aik Hi Baat Hai
Kabhi Bin Tumhare Roya Karte They
Ab Tum Dhur Ho Aik Hi Baat Hai
Dil Main Pehle wali Baat Nahin
Sou Jathan Karo Aik Hi Baat Hai
Dil Ke Aaine Main Tumain Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo Aik Hi Baat Hai
Bharam Sare Ab Tum Ne Kho Diye
Baher Ho Ya Khizaan Aik Hi Baat Hai
Woh Waqat Tha Jab Hum Mila Karte They
Wade Sare Wafa Ke Kiya Karte They
Rishta Chah Ka Tha Jho Tum Ne Mita Diya
Ab Subha Ho Ya Shaam Aik Hi Baat Hai
Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Ruth Ho Aik Hi Baat Hai
Bin Tumhare Jeena Bhi Kiya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Mout Ho Aik Hi Baat Hai

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 10 October 2007

SMS Shayri : Pathar bhi roye

Pathar bhi roye
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
agar koi karta hai to ilzam dete hai....
kehte hai ki pathar dil roya nahi karte,
to pahado se jharne kyun baha karte hai....!!

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 7 October 2007

Lovely Ghazal

mujh say dour tum baan kar ajnabi kab tak rahoo gay
meray bina tum iss bhari dunya main kesay rahoo gay

bhool jana mujhay maazi ki tarha tumharay baas main nahi
ya nakam koshish akhir tum kab tak kartay rahoo gay

wabasta hay merai zaat say tumhara aik aik pal
apni zindagi ki dore ko tum kab taak jortay rahoo gay

hum ko to tum nay thhukra dya aik bay jan shay samjh ker
apnay dil kay sakoon ko tum har taraf dhondtay rahoo gay

ager aaj bhi tum wapis ajao tu main tumhara muntazir hoon
apni jhooti anaa ki laaj tum kab tak rakhay rahoo gay

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri : Bohat dino ki baat thi ...

Bohat dino ki baat thi ...
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

MAGAR TUMHAIN KIA

MAGAR TUMHAIN KIA........!

mein Aarhay tirchey khayal sochoon
key bey- irada kitab likhoon?
koi shanassa ghazal tarashoon
key ajnabi intesaab likhoon?
ganwadoon ik umr key zamaney
key aik pal ka hissab likhoon?
meri tabiyat par munhassir hey!
mein jis tarhan ka nissab likhoon!
ye mere apney mizaj par hey
azaab sochoon,sawab likhoon?
taweel tar hey safar,tumhain kia
mein jee raha hoon magar tumhain kia?
magar tumhain kaya, key tum to kab sey
mere iradey ganwa chukey ho!
jala key sarey haroof apney
meri duain bhuja chukey ho!
mein raat Aurrhoon key subha pehnoon?
tum apni rasmain utha chukey ho
suna hey sab kuch bhula chukey ho
to ab mere dil pey ye jabar kaissa?
ye dil to had sey guzar chuka hey
guzar chuka hey magar tumhain kaya?
khizan ka maussam thehar chuka hey
thehar chuka hey magar tumhain kia?
magar tumhain kaya key is khizan mein!
mein jis tarhan key bhi khuab likhoon?

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Tuesday 2 October 2007

YAHI WAFAA KA SILSILA HAI TO KOI BAAT NAHI

Yahi wafaa ka silsila hai , to koi baat nahi
Ye dard tumne diya hai , to koi baat nahi
Yehi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai , to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dilmain chupa ke tumko
Wo ghar tumne chor diya hai , to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne thod diya hai , to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana ( badnaam )
Agar ye tumne kaha hai , to koi baat nahi
Yahi wafaa ka silsila hai , to koi baat nahi

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Shayri : Ghar Say Door Hote Hain

Ghar Say Door Hote Hain
Ghar Say Door Hote Hain
Bohat Majboor Hote Hain
Kabhi Bagon Main Sote Hain Kabhi Chup Chup K Rote Hain
Gharon Ko Yad Karte Hain
Phir Fariyad Karte Hain
Magar Jo Be Sahara Hon Gharon Say Be Kinara Hon
Unhain Ghar Kon Deta Hai
Yeh Khatra Kon Leta Hai
Bari Mushkil Say Eik Kamra Jahan Koi Na Ho Rehta
Nagar Say Paar Milta Hai
Bohat Bekaar Milta Hai
To Phir 2 / 4 Hum Jaise
Mila Letey Hain Sab Paise
Our Apas Main Yeh Kehte Hain
K Mil Jul Kar Hi Rehte Hain
Koi Khana Banaye Ga Koi Jharo Lagaye Ga
Koi Dhoeye Ga Sab Kapre To Reh Lain Gay Sukh Say
Magar Wo Tapash Bahri Ratain
Thakan Say Choor Hote Hain
Skon Say Door Hote Hain
Bohat Je Chahata Hai.. Tab!!!
K Man Ko Bhej De Ya Rab
Wo Apni Good Main Le Kar Sula De Neend Kuch Aise
K Tote Phir Na Eik Pal Bhi
Magar Kuch Bhi Nahin Hota To Kar Lete Hain Samjota
Makan Veeran Milta Hai Bohat Be Jan Milta Hai
Bare Rnjoor Kiyon Na Hon..Bare Majboor Kiyon Na Hon
Akhar Main Maheene K..Sab Apne Khoon Paseene K

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Thursday 27 September 2007

kabhi kabhi.. Shayri

Ajeeb lagti hain shaam kabhi-kabhi,
Zindagi lagti hain Bejaan kabhi-kabhi.
kabhi samaj me aaye to hume bhi batana
ki kyoun karti hai yaade pareshaan kabhi-kabhi.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google