Hindi Shayri

Tuesday 16 September 2008

Salam_e_Mohabbat

Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay

Zara apni palkon k
Piche to jhanko
Umangoon ka sholah
Bharakne laga hay

Woh dil jis ko pathar
Banaya hay tu ne
Woh pathar bhi ab to
Dharakne laga hay
Yeh ulfat naheen hay
To phir aur kiya hay

Khalish pyaar ki tum
Chupaoo ge kaise
Mohabbat huy hay
To ikraarkar lo

Agar hum naheen hain
Wafaoon k kabil
Jise chahte ho
Use pyaar kar lo
Abhi tak jahan main
Yehi kuch huwa hay

Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay
Sallam
Salam_e_mohabbat

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Wednesday 10 September 2008

Jab Naam Tera Pyar Se

jab naam tera pyar se likhatii hain meri ungaliyaan,
merii taraf zamaane kii uthatii hain ungaliyaan.

daaman sanam kaa haath men aayaa tha ek pal,
din raat us ek pal se mahakatii hain ungaliyaan.

jis din se duur ho gaye us din se hii sanam,
bas din tumhaare aane ke ginatii hain ungaliyaan.

patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa,
fankaar kii zamaane men katatii hain ungaliyaan.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Sunday 6 July 2008

Tum Ko Aana Ho Ga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google